aashiqii be-dilii se mushkil hai
aashiqii be-dilii se mushkil hai
phir muhabbat usii se mushkil hai
ishq aaGaaz hii se mushkil hai
sabr karanaa abhii se mushkil hai
ham wo insaaN haiN ki hamaare liye
dushmanii dostii se mushkil hai
jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n
bevafaa_ii usii se mushkil hai
ek do duusare se sahel na jaan
har ko_ii har kisii se mushkil hai
[sahel=approachable]
tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar
vaapasii us galii se mushkil hai
Contributed by Abida Sultan
Corrections by Parmjeet Sarkar
|