muttafaavate.n hai.n mere Khudaa ki ye tuu nahii.n ko_ii aur hai
muttafaavate.n hai.n mere Khudaa ki ye tuu nahii.n ko_ii aur hai
ki tuu aasamaan pe ho to ho pisar-e-zamii.n ko_ii aur hai
[pisar=son]
vo jo raaste the vafaa ke the ye jo manzile.n hai.n sazaa kii hai.n
meraa ham_safar ko_ii aur thaa meraa ham_nashii.n ko_ii aur hai
mere jism-o-jaa.N me.n tere sivaa aur ko_ii bhii duusaraa
mujhe phir bhii lagataa hai is tarah ki kahii.n kahii.n ko_ii aur hai
mai.n asiir apane gazaal kaa mai.n faqiir dasht-e-visaal kaa
jo hiran ko baa.Ndh ke le gayaa vo subuk_tagii.n ko_ii aur hai
[asiir=prisoner; gazaal=deer; subuk-tagii.n=name of emperor]
|