jis simt bhii dekhuu.N nazar aataa hai ke tum ho
jis simt bhii dekhuu.N nazar aataa hai ke tum ho
ai jaan-e-jahaa.N ye ko_ii tum saa hai ke tum ho
ye Khvaab hai Khushbuu hai ke jho.nkaa hai ke pal hai
ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho
is diid kii sa_aat me.n ka_ii rang hai.n larazaa.N
mai.n huu.N ke ko_ii aur hai duniyaa hai ke tum ho
dekho ye kisii aur kii aa.Nkhe.n hai.n ke merii
dekhuu.N ye kisii aur kaa cheharaa hai ke tum ho
ye umr-e-gurezaa.N kahii.n Thahare to ye jaanuu.N
har saa.Ns me.n mujh ko ye lagataa hai ke tum ho
har bazm me.n mauzuu-e-suKhan dil zad_gaa.N kaa
ab kaun hai shiirii.n hai ke lailaa hai ke tum ho
ik dard kaa phailaa huaa saharaa hai ke mai.n huu.N
ik mauj me.n aayaa huaa dariya hai ke tum ho
vo vaqt na aaye ke dil-e-zaar bhii soche
is shahar me.n tanhaa ko_ii ham saa hai ke tum ho
aabaad ham aashuftaa saro.n se nahii.n maqtal
ye rasm abhii shahar me.n zindaa hai ke tum ho
ai jaan-e-'Faraz' itanii bhii taufiiq kise thii
ham ko Gam-e-hastii bhii gavaaraa hai ke tum ho
|