ham to jaise yahaa.N ke the hii nahii.n
ham to jaise yahaa.N ke the hii nahii.n
dhuup the saayabaa.N ke the hii nahii.n
[saayabaa.N = cornice]
raaste kaaravaa.N ke saath rahe
marhale kaaravaa.N ke the hii nahii.n
[marhale = obstacles/difficulties]
ab hamaaraa makaan kis kaa hai
ham to apane makaa.N ke the hii nahii.n
in ko aa.Ndhi me.n hii bikharanaa thaa
baal-o-par yahaa.N ke the hii nahii.n
[baal-o-par = arms and wings]
us galii ne ye sun ke sabr kiyaa
jaane vaale yahaa.N ke the hii nahii.n
[sabr karanaa = to be patient]
ho terii Khaak-e-aastaa.N pe salaam
ham tere aastaa.N ke the hii nahii.n
[Khaak = dust; aastaa.N = threshold]
|