dil ne vafaa ke naam par kaar-e-jafaa nahii.n kiyaa
dil ne vafaa ke naam par kaar-e-jafaa nahii.n kiyaa
Khud ko halaak kar liyaa Khud ko fidaa nahii.n kiyaa
kaise kahe.n ke tujh ko bhii hamase hai vaastaa ko_ii
tuune to hamase aaj tak ko_ii gilaa nahii.n kiyaa
tuu bhii kisii ke baab me.n ahad-shikan ho Gaaliban
mai.n ne bhii ek shaKhs kaa qarz adaa nahii.n kiyaa
jo bhii ho tum pe mautariz us ko yahii javaab do
aap bahot shariif hai.n aap ne kyaa nahii.n kiyaa
jis ko bhii sheKh-o-shaah ne hukm-e-Khudaa diyaa qaraar
hamane nahii.n kiyaa vo kaam haa.N baa-Khudaa nahii.n kiyaa
nisbat-e-ilm hai bahot haakim-e-vaqt ko aziiz
us ne to kaar-e-jehl bhii be-ulaamaa nahii.n kiyaa
Contributed by Irfan Sattar
|