ye saaraa jism jhuk kar bojh se duharaa huaa hogaa
ye saaraa jism jhuk kar bojh se duharaa huaa hogaa
mai.n sajde me.n nahii.n thaa aap ko dhokaa huaa hogaa
[jism = body; duharaa = doubled; sajdaa = prostrated in prayer]
yahaa.N tak aate aate suukh jaatii hai.n sabhii nadiyaa.N
mujhe maaluum hai paanii kahaa.N Thaharaa huaa hogaa
Gazab ye hai ki apanii maut kii aahaT nahii.n sunate
vo sab ke sab pareshaa.N hai.n vahaa.N par kyaa huaa hogaa
[Gazab = amazing/surprising]
tumhaare shahar me.n ye shor sun-sun kar to lagataa hai
ki insaano.n ke jangal me.n ko_ii hanaakaa huaa hogaa
ka_ii faake bitaakar mar gayaa jo us ke baare me.n
vo sab kahate hai.n ab aisaa nahii.n aisaa huaa hogaa
[faake = hunger]
yahaa.N par sirf guu.nge aur bahare log basate hai.n
Khudaa jaane yahaa.N par kis tarah jalasaa huaa hogaa
[jalasaa = celebration/festive gathering]
chalo ab yaad_gaaro.n kii andherii koTharii khole.n
kam_az_kam ek vo cheharaa to pahachaanaa huaa hogaa
[kam_az_kam = at the very least/if nothing else]
Additions by Bharat Pandya
|