shab-e-visaal hai roshan chiraaG gul kar do
Khushii kii bazm me.n kyaa kaam jalane vaalo.n kaa
lutf-e-mai tujh se kyaa kahuu.N zaahid
haaye kambaKht tuu ne pii hii nahii.n
jis me.n laakho.n baras kii huure.n ho.n
aisii jannat ko kyaa kare ko_ii
mere Khayaal me.n duniyaa uja.D ga_ii merii
tere Khayaal me.n tinke the aashiyaa.N ke
Contributed by Fayaz Razvi
kabhii dekh to sar-e-rah_guzar
ke ta.Dapate kitane hai.n raah par
na chal aisii chaal tuu fitnaagar
ko_ii ye bhii tarz-e-Khiraam hai
Contributed by Fayaz Razvi
tum hii insaaf se ai hazarat-e-naaseh kah do
lutf in baato.n me.n aataa hai ke un baato.n me.n
Contributed by Fayaz Razvi
dil kii taaqiid hai har haal me.n ho paas-e-vafaa
kyaa sitam hai ke sitam_gar ko sitam_gar na kaho
ek to husn-e-balaa us pe banaavaT aafat
ghar bigaa.Denge hazaaro.n kaa sa.Nvarane vaale
hashr me.n lutf ho jab un se ho do-do baate.n
vo kahe.n kaun ho tum ham kahe.n marane vaale
hazarat-e-'DaaG' jahaa.N baiTh gaye baiTh gaye
aur ho.nge terii mahafil se ubharane vaale
|