phir shab-e-Gam ne mujhe shakl dikhaa_ii kyo.nkar
phir shab-e-Gam ne mujhe shakl dikhaa_ii kyo.nkar
ye balaa ghar se nikaalii hu_ii aa_ii kyo.nkar
tuu ne kii Gair se merii buraa_ii kyo.nkar
gar na thii dil me.n to lab par tere aa_ii kyo.nkar
tum dilaazaar-o-sitam_gar nahii.n mai.n ne maanaa
maan jaayegii ise saarii Khudaa_ii kyo.nkar
aa_iinaa dekh ke vo kahane lage aap hii aap
aise achchho.n kii kare ko_ii buraa_ii kyo.nkar
kasarat-e-ranj-o-alam sun ke ye ilzaam milaa
itane se dil me.n hai itano.n kii samaa_ii kyo.nkar
daaG kal tak to du_aa aap kii maqabuul na thii
aaj muu.Nh maa.Ngii muraad aap ne paa_ii kyo.nkar
Contributed by Abhay Ghasias
|