Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa
DaaG Dehlvi
Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa i.ntezaar kiyaa
[tamaam=whole]
ha.Nsaa ha.Nsaa ke shab-e-vasl ashk-baar kiyaa
tasalliyaa.N mujhe de-de ke beqaraar kiyaa
ham aise mahv-e-nazaaraa na the jo hosh aataa
magar tumhaare taGaaful ne hoshiyaar kiyaa
fasaana-e-shab-e-Gam un ko ek kahaanii thhii
kuchh aitabaar kiyaa aur kuchh naa-aitabaar kiyaa
ye kisane jalvaa hamaare sar-e-mazaar kiyaa
ki dil se shor uThaa, haa_e! beqaraar kiyaa
ta.Dap phir ai dil-e-naadaa.N, ki Gair kahate hai.n
aaKhir kuchh na banii, sabr iKhtiyaar kiyaa
[sabr=patience]
bhulaa bhulaa ke jataayaa hai unako raaz-e-nihaa.N
chhipaa chhipaa ke mohabbat ko aashakaar kiyaa
[raaz-e-nihaa.N=hidden secret; aashakaar=reveal]
tumhe.n to vaadaa-e-diidaar ham se karanaa thaa
ye kyaa kiyaa ke jahaa.N ko ummiidavaar kiyaa
ye dil ko taab kahaa.N hai ke ho maalandesh
u.nho.ne vaadaa kiyaa ham ne aitabaar kiyaa
na puuchh dil kii haqiiqat magar ye kahate hai.n
vo beqaraar rahe jisane beqaraar kiyaa
kuchh aage daavar-e-mahashar se hai ummiid mujhe
kuchh aap ne mere kahane kaa aitabaar kiyaa
[daavar-e-mahashar=the judge presiding on the day of judgement, i.e. God]