shabanam ke aa.Nsuu phuul par ye to vahii qissaa huaa
Bashir Badr
shabanam ke aa.Nsuu phuul par ye to vahii qissaa huaa
aa.Nkhe.n merii bhiigii hu_ii.n cheharaa teraa utaraa huaa
[shabanam=dew; qissaa=incident/happening]
ab in dino.n merii Gazal Khushbuu kii ik tasviir hai
har lafz gu.nche kii tarah khil kar teraa cheharaa huaa
[lafz=word]
ma.ndir gaye masjid gaye piiro.n fakiiro.n se mile
ik us ko paane ke liye kya kyaa kiyaa kyaa kyaa huaa
shaayad ise bhii le gaye achchhe dino.n ke qaafile
is baaG me.n ik phuul thaa terii tarah ha.Nsataa huaa
[qaafilaa=caravan]
anmol motii pyaar ke, duniyaa churaa ke le ga_ii
dil kii havelii kaa ko_ii daravaazaa thaa TuuTaa huaa
[havelii=mansion]