patthar ke jigar vaalo.n Gam me.n vo ravaanii hai
Bashir Badr
patthar ke jigar vaalo.n Gam me.n vo ravaanii hai
Khud raah banaa legaa bahataa huaa paanii hai
phuulo.n me.n Gazal rakhanaa ye raat kii raanii hai
is me.n terii zulfo.n kii be-rabt kahaanii hai
[berabt=incongruous/not connected]
ek zahan-e-parenshaa.N me.n vo phuul saa cheharaa hai
patthar kii hifaazat me.n shiishe kii javaanii hai
[zahan=mind; pareshaa.N=troubled; hifaazat=protection]
kyo.n chaa.Ndanii raato.n me.n dariyaa pe nahaate ho
soye hue paanii me.n kyaa aag lagaanii hai
is hausalaa-e-dil par ham ne bhii kafan pahanaa
ha.Ns kar koii puuchhegaa kyaa jaan gavaanii hai
[hausalaa=courage; kafan=shroud; gavaanaa=to lose]
rone kaa asar dil par rah rah ke badalataa hai
aa.Nsuu kabhii shiishaa hai aa.Nsuu kabhii paanii hai
ye shabanamii lahajaa hai aahistaa Gazal pa.Dhanaa
titalii kii kahaanii hai phuulo.n kii zabaanii hai
[lahajaa=style; titalii=butterfly]