zulm ke paao.n se jo phuul masal jaate hai.n
zulm ke paao.n se jo phuul masal jaate hai.n
Khaar ban kar vahii patthar pe nikal aate hai.n
phir bahaaro.n kii zaruurat nahii.n rahatii un ko
ye Khizaa.N me.n bhii ba.Dii shaan se khil jaate hai.n
Guu.Nche vo milatii nahii.n hai jinhe.n aagosh ko_ii
vahii miTate hai.n to kiicha.D me.n kamal aate hai.n
Dab-Dabaa_ii hu_ii aa.Nkho.n me.n na aa.Nnkhe.n Daalo
in me.n tuufaan hai.n chhe.D se machal jaate hai.n
vo jo kal raunaq-e-faanuus thii aiwaan ke liye
aaj us shammaa se aiwaan dahal jaate hai.n
dhuup thii tez to saaye bhii the paro.n ke tale
is ke Dhalate hii ruKh in ke bhii badal jaate hai.n
hamane samajhaa hai zamaane ko ba.Dii der ke baad
ye vo Kha.njar hai.n jo apano pe bhii chal jaate hai.n
hamako aataa nahii.n zaKhmo.n kii numaa_ish karanaa
Khud hii rote hai.n ta.Dapate hai.n bahal jaate hai.n
jo samajhate hai.n hawabis ko vo khilona kii tarah
un se tuufaan bhii bach-bach ke nikal jaate hai.n
azm-vaale kabhii himmat nahii.n haaraa karate
ashk 'Azra' ke ye kah kah ke samhal jaate hai.n
Contributed by Tariq Husain
|