manzil-e-jaanaa.N ko jab ye dil ravaa.N thaa dosto
manzil-e-jaanaa.N ko jab ye dil ravaa.N thaa dosto
tum ko mai.n kaise bataa_uu.N kyaa samaa.N thaa dosto
har gumaa.N pahane hue thaa ek malbuus-e-yaqii.n
har yaqii.n jaa.N daadaa-e-husn-e-gumaa.N thaa dosto
dil ki har dha.Dakan makaan-o-laamakaa.N par thii muhiit
har nafas raaz-e-do_aalam kaa nishaa.N thaa dosto
kyaa Khabar kis justajuu me.n is qadar aavaaraa thaa
dil ke jo ganjiinaa-e-sarr-e-nihaa.N thaa dosto
Dhuu.NDhane par bhii na milataa thaa mujhe apanaa vujuud
mai.n talaash-e-dost me.n yuu.N benishaa.N thaa dosto
markad-e-iqbal par haazir thii jab dil ki ta.Dap
zindagii kaa ek pardaa darmiyaa.N thaa dosto
qarb ne paidaa kiyaa thaa Khud hii duurii kaa samaa.N
faasalaa varna haa_il kahaa.N thaa dosto
beKhudii me.n jab mere ho.nTo.n ne chuumaa qabr ko
mere siina se gadaa-e-fursiyaa.N thaa dosto
ruu-ba-ruu-e-jalvaa-e-markad vujuud-e-kam ayaar
zar-e-naaqis sharmasaar-e-imtehaa.N thaa dosto
partav-e-dil me.n nihaa.N thii tah-bateh ye Khaamoshii
ishq kaa vo bhii ik izhaar-e-bayaa.N thaa dosto
jalvaagaah-e-dost kaa aalam kahuu.N mai.n tum se kyaa
jalvaa hi jalvaa vahaa.N thaa mai.n kahaa.N thaa dosto
sajdagaah-e-Khurshiyaa.N thaa yaa.N na jaane kyaa thaa vo
jo merii nazaro.n ke aage aastaa.N thaa dosto
dil ne har lamhe ko dekhaa ik niraale rang me.n
lamhaa lamhaa daastaa.N dar daastaa.N thaa dosto
jis ke sher-o-naGmagii par vusat-e-aalam thii tang
har subah ko vo dopahre bekaraa.N thaa dosto
so rahaa thaa Khaak ke niiche jahaan-e-zindagii
raaz-e-hastii merii nazaro.n par ayaa.N thaa dosto
kaash tum bhii merii palko.n kaa nazaaraa dekhate
ye nazaaraa kahkashaa.N dar kahkashaa.N thaa dosto
Contributed by Dinesh Shenoy
|