lamho.n ke aazaab sah rahaa huu.N
lamho.n ke aazaab sah rahaa huu.N
mai.n apane vajuud kii sazaa huu.N
zaKhmo.n ke gulaab khil rahe hai.n
Khushbuu ke hujuum me.n kha.Daa huu.N
is dasht-e-talab me.n ik mai.n bhii
sadiyo.n kii thakii hu_ii sadaa huu.N
benaam-o-numuud zindagii kaa
ik bojhaa uThaaye phir rahaa huu.N
ik aisaa chaman hai jis kii Khushbuu
saa.Nso.n me.n basaaye phir rahaa huu.N
ik aisii zamii.n hai jis ko chhuukar
takadiis-e-haram se aashnaa huu.N
ai mujh ko fareb dene vaale
mai.n tujh par yaqiin kar chukaa huu.N
mai.n tere qariib aate aate
kuchh aur bhii duur ho gayaa huu.N
|