jab merii haqiiqat jaa jaa kar un ko sunaa_ii logo.n ne
jab merii haqiiqat jaa jaa kar un ko sunaa_ii logo.n ne
kuchh sach bhii kahaa kuchh jhuuTh kahaa kuchh baat banaa_ii logo.n ne
Dhaaye.N hai.n hameshaa zulm-o-sitam duniyaa ne muhabaat vaalo.n par
do dil ko kabhii milane na diyaa diivaar uThaa_ii logo.n ne
aa.Nkho.n se na aa.Nsuu po.nch sake ho.nTho.n pe Khushii dekhii na ga_ii
aabaad jo dekhaa ghar meraa to aag lagaa_ii logo.n ne
tanhaa_ii kaa saathii mil na sakaa rusvaa_ii me.n shaamil shahar huaa
pahale to meraa dil to.D diyaa phir iid manaa_ii logo.n ne
is daur me.n jiinaa mushkil hai ai 'Ashk' ko_ii aasaa.N nahii.n
har ik qadam par marane kii ab rasm chalaa_ii logo.n ne
|