vo gul_farosh kahaa.N ab gulaab kis se luu.N
vo gul_farosh kahaa.N ab gulaab kis se luu.N
nahii.n rahaa meraa saaqii sharaab kis se luu.N
[gul_farosh = flower seller]
terii talaash me.n is umr-e-mustu'ar ke saal
jo raayegaa.N gaye un kaa hisaab kis se luu.N
[umr-e-mustu'ar = borrowed time; raayegaa.N = futile]
hayaat Khud hai savaal aur Khud javaab apanaa
savaal kis se karuu.N mai.n javaab kis se luu.N
[hayaat = life]
kisii ke naam jo mansuub abhii nahii.n kii thii
mai.n apanii kho_ii hu_ii vo kitaab kis se luu.N
[mansuub = related to]
tumhaare baad na dekhuu.N tumhaare jaiso.n ko
to ye shabii.n ye umange.n ye Khvaab kis se luu.N
[shabii.n - moonlit night]
nashaakashii se bii le luu.N 'Shaoor' aaj magar
vo roz-e-abr-o-shab-e-maahataab kis se luu.N
[nashaakashii = drinking]
|