|
Ashaar #037 - 'intazaar' Date: 24-Sep-2001 Topic: 'intazaar' ham intazaar kare.nge teraa qayaamat tak Khudaa kare ki qayaamat ho aur tuu aaye [Sahir Ludhianvi] I ended the last Ashaar post with these lines but it was certainly not my intention to make you all wait so long for this edition of Ashaar. One doesn't always have control over what, where, when and how. Luckily, we did not have to wait until 'qayaamat' for this edition of Ashaar to be posted. So, without much ado, let's get started. We start off with some 'ashaar' from a ghazal by Hasrat Mohani: ab to uTh sakataa nahii.n aa.Nkho.n se baar-e-intazaar kis tarah kaaTe ko_ii lail-o-nahaar-e-intazaar [baar = weight] un kii ulfat kaa yaqii.n ho un ke aane kii ummiid ho.n ye dono.n suurate.n tab hai bahaar-e-intazaar un ke Khat kii aarazuu hai un ke aamad kaa Khayaal kis qadar phailaa huaa hai kaarobaar-e-intazaar [aamad = arrival] As always, I would like to first include the 'ashaar' sent by members of this mailing list. Contributed by Megha Saxena: --------------------------- intazaar hii rahaa o subah teraa kaalii raat ke saaye me.n ab dil TuuT gayaa [Mauj Meeruthi] Contributed by Abhijit Saxena: ----------------------------- tamaam umr teraa intazaar ham ne kiyaa is intazaar me.n kis kis se pyaar ham ne kiyaa [Hafiz Hoshiarpuri] jo bhii bichha.De hai.n kab mile hai.n 'Faraz' phir bhii tuu intazaar kar shaayad [Ahmad Faraz] lutf jo us ke intazaar me.n hai vo kahaa.N mausam-e-bahaar me.n hai [unknown] **Compare this to the Jagjit-Chitra ghazal from Someone Somewhere: vo mazaa kahaa.N vasl-e-yaar me.n lutf jo milaa intazaar me.n ['Fana' Nizami Kanpuri] The difference is clear :-) ** Contributed by Manu Kaushal: --------------------------- ai intazaar-e-jaanaa.N ham jaanate.n hai.n tujhe kaaTe hai.n raat ham ne karavaT badal badal ke [Unknown] ** Perhaps someone can verify this sher. It sounds familiar to me but the second 'misra' (line) doesn't sound right ** Contributed by Irfan Alvi: ------------------------- ye na thii hamaarii qismat ke visaal-e-yaar hotaa agar aur jiite rahate yahii intazaar hotaa [Mirza Ghalib] Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa tamaam raat qayaamat kaa intazaar kiyaa [Daag Dehlvi] Contributed by Amar Rathod: -------------------------- umr-e-daraaz maa.Ng kar laaye the chaar din do arazuu me.n kaT gaye do intazaar me.n [Bahadur Shah Zafar] shab-e-intazaar kii kash-ma-kash na puuch kaise sahar hu_ii kabhii ik chiraaG jalaa diyaa kabhii ik chiraaG bujhaa diyaa [Majrooh Sultanpuri] Contributed by S. Noorani: ------------------------- baaG-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyaa thaa kyo.N kaar-e-jahaa.N daraaz hai ab meraa intazaar kar [Allam Iqbal] Contributed by Zahid Naqvi: -------------------------- luuTe maze usii ne tere intazaar ke jo hadd-e-intazaar se aage nikal gayaa [Asar Lucknawi] ko_ii aayaa na aayegaa lekin kyaa kare.n gar na intazaar kare.n [Firaq Gorakhpuri] maut kaa intazaar baaqii hai aap kaa intazaar thaa na rahaa [Fani Badayuni] And some more ashaar on 'intazaar': jaan-e-sukuun aa bhii jaa teraa hii intazaar hai aa.Nkho.n se ashk hai ravaa.N jaa.N bhii beqaraar hai hone ko fasl-e-gul bhii hai daavat-e-aish hai magar apanii bahaar kaa mujhe aaj bhii intazaar hai [Yahya Jasdanwalla] din guzar gayaa aitabaar me.n raat kaT ga_ii intazaar me.n ['Fana' Nizami Kanpuri] ik umr kaT ga_ii hai tere intazaar me.n aise bhii hai.n ke kaT na sakii jin se ek raat [Firaq Gorakhpuri] kuchh din ye bhii rang rahaa intazaar me.n aa.nkh uTh ga_ii jidhar bas udhar dekhate rahe [Asar Lucknawi] jis mo.D par kiye the ham intazaar baraso.n us se lipaT ke roye diivaanaavaar baraso.n [Sudarshan Faakir] tamaam umr teraa intazaar kar le.nge magar ye ranj rahegaa ki zindagii kam hai [Shahid Siddiqi] paiGaam zindagii ne diyaa maut kaa mujhe marane ke intazaar me.n jiinaa pa.Daa mujhe [Safi Lucknawi] be-Khudii le gaii kahaa.N ham ko der se intazaar hai apanaa [Meer Taqi Meer] terii raaho.n me.n baarahaa ruk kar ham ne apanaa hii intazaar kiiyaa [Gulzar] mujh ko ye aarazuu vo uThaaye.n naqaab Khud un ko ye intazaar taqaazaa kare ko_ii [Majaz] taa phir na intazaar me.n nii.nd aaye umr bhar aane kaa ahad kar gaye aaye jo Khwaab me.n [Mirza Ghalib] jab nigaahe.n uTh ga_ii.n allaah re meraaj-e-shauq dekhataa kyaa huu.N vo jaan-e-intazaar aa hii gayaa [Jigar Moradabadi] ab kii baras bhii vo nahii.n aayaa bahaar me.n guzaregaa aur ek baras intazaar me.n [Payam Saeedi] kahaa.N hai tuu ke tere intazaar me.n ai dost tamaam raat sulagate rahe dil ke viiraane [Nasir Kazmi] roz jiitaa huaa roz marataa huaa har naye din nayaa intazaar aadamii [Nida Fazli] vo na aayegaa hame.n maaluum thaa us shaam bhii intazaar us ka magar kuchh soch kar karate rahe [Parveen Shakir] aaj ashko.n kaa taar TuuT gayaa rishtaa-e-intazaar TuuT gayaa [Saifuddin Saif] na jis kii shakl hai ko_ii na jis kaa naam hai ko_ii ik aisii shai kaa kyo.n hame.n azal se intazaar hai [Shahryar] tum aaye ho na shab-e-intazaar guzarii hai talaash me.n hai sahar baar baar guzarii hai [Faiz Ahmad Faiz] ik intazaar saa thaa ab nazar me.n vo bhii nahii.n safar me.n marane kii fursat thii ghar me.n vo bhii nahii.n [Mahashar Badayuni] TuuTii jo aas jal gaye palko.n pe sau chiraaG nikharaa kuchh aur rang shab-e-intazaar kaa [Mumtaz Mirza] ab kis ke intazaar me.n jaage.n tamaam shab vo saath ho to niind me.n kaise Khalal pa.De [Shehzad Ahmed] [tamaam = whole/entire; shab = night; Khalal = disturbance/obstruction] merii naash ke sirhaane vo kha.De ye kah rahe hai.n ise niind yuu.N na aatii agar intazaar hotaa [Safi Lucknawi] [naash = corpse; sirhaane = near the head] Gam-e-hayaat se dil ko abhii nijaat nahii.n nigaah-e-naaz se kah do ki intazaar kare [Shakeel Badayuni] na ko_ii vaadaa na ko_ii yaqii.n na ko_ii ummiid magar hame.n to teraa intazaar karanaa thaa [Firaq Gorakhpuri] tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai ke ham ko teraa nahii.n intazaar apanaa hai [Ahmad Faraz] Khizaa.N ke rang me.n abhii bahaar baaqii hai chiraaG-e-sahar hai par intazaar baaqii hai [Azra Adil Rashid] mai.n zindaa thaa ki teraa intazaar Khatm na ho jo tuu milaa to ab sochataa huu.N mar jaa_uu.N [Ahmed Nadeem Qasmi] phir baiThe baiThe vaadaa-e-vasl us ne kar liyaa phir uTh kha.Daa huaa vahii rog intazaar kaa [Ameer Minai] lauT aa_uu.Ngaa surKh-ruu ho kar saaraa lashkar is intazaar me.n thaa [Anees Amrohvi] [surKh-ruu = victorious; lashkar = army] haalaat kah rahe hai.N ki ab vo na aayenge ummiid kah rahii hai zaraa intazaar kar [Irfan 'Abid'] duniyaa to Khair chho.D ke aage nikal ga_ii tum ne bhii intazaar hamaaraa nahii.N kiyaa [Irfan 'Abid'] And so, till next time..... don't be shy about sending in your favourite ashaar for the next topic. Oh, I didn't mention what it was, did I? javaa.N hone lage jab vo to ham se kar liyaa pardaa hayaa yak_laKht aa_ii aur shabaab aahistaa-aahistaa [Ameer Minai] The topic is 'sharm-o-hayaa'. The last date for sending in your contributions is October 5th. Looking forward to hearing from all of you. |
||
Maintained by Nita Awatramani URL: http://www.ashaar.net Last updated on: 24th September, 2001 |