|
Ashaar #036 - 'tasavvur' Date: 09-Jul-2001 Topic: 'tasavvur' ----------------------------------------------------------- In This Issue: I. Contributions from Ashaar members: - Soumya Rao - Avinash - Irfan Alvi - Waqas - Farooq - Sunil Goswami - Pramod Shersia II. Some notable ashaar on 'tasavvur' from our collection III. Topic for the next issue, deadlines and other fun stuff :-) ----------------------------------------------------------- jii Dhuu.NDataa hai phir vahii fursat ke raat din baiThe rahe.n tasavvur-e-jaanaa.N kiye hue - Mirza Ghalib Undoubtedly, the most common object of 'tasavvur' in Urdu poetry is 'jaanaa.N' - one's beloved. Let's see where a poet's imagination can take him and what occupies his thoughts. I. Contributions from Ashaar members: Contributed by Soumya Rao: ------------------------- shaam se un ke tasavvur kaa nashaa thaa itanaa niind aa_ii hai to aa.Nkho.n ne buraa maanaa hai [Unknown] Contributed by Avinash: ---------------------- ye hangaamaa-e-tajdiid-e-vaa merii afsurdaa javaanii ko raas nahii.n mai.n ne jo phuul chune the tere qadamo.n ke liye un kaa dhundhalaa saa tasavvur bhii mere paas nahii.n [Sahir Ludhianvi] Contributed by Irfan Alvi: -------------------------- ta.Dape.nge terii yaad me.n ghabaraaye.nge tanhaa ai dost kisii taur na jii paaye.nge tanhaa jiine kaa akele to tasavvur bhii nahii.n hai ham tujh se judaa ho.nge to mar jaaye.nge tanhaa [Irfan 'Abid'] Contributed by Waqas: -------------------- thii ek shaKhs ke tasavvur se ab vo raanaa_ii-e-Khayaal kahaa.N [Mirza Ghalib] Contributed by Farooq: --------------------- yuu.N barasatii hai.n tasavvur me.n puraanii yaade.n jaise barasaat me.n rim_jhim me.n samaa.N hotaa hai [Qateel Shifai] Contributed by Sunil Goswami: ---------------------------- ham band kiye aa.Nkh tasavvur me.n pa.De hai.n aise me.n ko_ii chham se jo aa jaaye to kyaa ho [Riaz Khairabadi] Contributed by Pramod Shersia: ----------------------------- achchhaa hai sar_angusht-e-hinaa_ii kaa tasavvur dil me.n nazar aatii to hai ek buund lahuu kii [Mirza Ghalib] jo bahut duur thaa aaj baaho.n me.n hai jo tasavvur me.n thaa vo nigaaho.n me.n hai [Unknown] kuchh nazar nahii.n aataa un ke tasavvur ke sivaa hasarat-e-diidaar ne aa.Nkho.n ko andhaa kar diyaa [Unknown] hairaa.N hue na the jo tasavvur me.n bhii kabhii tasviir ho gaye merii tasviir dekh kar [Unknown] ----------------------------------------------------------- II. Some notable ashaar on 'tasavvur' from our collection phir nazar me.n phuul lahake dil me.n phir shamaye.n jalii.n phir tasavvur ne liyaa us bazm me.n jaane kaa naam [Faiz Ahmed Faiz] raat bhar un kaa tasavvur dil ko ta.Dapaataa rahaa ek naqshaa saamane aataa rahaa jaataa raahaa [Akhtar Shirani] ** Reminds me of this beautiful sher by Makhdoom Mohiuddin: raat bhar diidaa-e-nam_naak me.n laharaate rahe saa.Ns kii tarah se aap aate rahe jaate rahe ** mile.n shaam ko aasmaa.N aur zamii.n tasavvur me.n mil le.nge ham bhii kahii.n [Unknown] chale jaayiye mujh se daaman bachaakar tasavvur se bach kar kahaa.N jaayiyegaa [Unknown] terii yaad hai yaa teraa tasavvur kabhii 'Daag' ko ham ne tanhaa na dekhaa [Daag Dehlvi] tasavvur me.n udhar vo aa rahe hai.n ishar dil hai ki baiThaa jaa rahaa hai [Sirajul Hasan Siraj] tuu yaad aaye tere jaur-o-sitam phir bhii na yaad aaye tasavvur me.n ye maasuumii ba.Dii mushkil se aatii hai [Firaq Gorakhpuri] do gha.Dii dil ke bahalane kaa sahaaraa bhii gayaa liijiye aaj tasavvur me.n bhii tanhaa_ii hai [Manzar Lucknavi] ai zauq-e-nazaaraa kyaa kahiye nazaro.n me.n ko_ii suurat hii nahii.n ai zauq-e-tasavvur kyaa kiije ham suurat-e-jaanaa.N bhuul gaye [Majaz] tuune dekhii hai vo peshaanii vo rukhsaar vo ho.nTh zaindagii un ke tasavvur me.n guzaarii ham ne [Faiz Ahmed Faiz] un kaa zikr un kaa tasavvur un kii yaad kaT rahii hai zindagii aaraam se [Mahashar Badayuni] gum niind kii aagosh me.n hone nahii.n detaa raato.n ko tasavvur teraa sone nahii.n detaa [Arzoo Lucknawi] khul nahii.n sakatii hai.n ab aa.Nkhe.n merii jii me.n ye kis kaa tasavvur aa gayaa [Khwaja Mir Dard] aa.Nsuu nikal rahe hai.n ban ke tasavvur me.n phuul shaadaab ho rahaa hai gulistaan-e-aarazuu [Akhtar Shirani] ----------------------------------------------------------- III. Topic for the next issue, deadlines and other fun stuff :-) shab-e-intazaar kii kashmakash na puuchh kaise sahar hu_ii kabhii ek chiraaG jalaa diyaa kabhii ik chiraaG bujhaa diyaa [Majrooh Sultanpuri] Aap ke e-mails kaa 'intazaar' rahegaa :-) The deadline for the next issue of Ashaar is July 20th, 2001. Please send your favourite ashaar on 'intazaar' to moderator@urdupoetry.com You can also use the online form at http://www.ashaar.net/contact.html Some of the forthcoming topics for Ashaar are: anga.Daa_ii diidaar-e-yaar cheharaa junuu.N/diivaanagii The themes are not given in any particular order. I would like to invite suggestions from Ashaar members on possible themes for Ashaar. You can see the previous themes at http://www.ashaar.net/topic.html One request - please send ashaar for the current topic only. Otherwise it becomes slightly difficult to have to wade through all the e-mails to get the ones you are looking for. I hope you enjoyed the ashaar on 'tasavvur'. Till next time... ham intazaar kare.nge teraa qayaamat tak Khudaa kare ki qayaamat ho aur tuu aaye [Sahir Ludhianvi] |
||
Maintained by Nita Awatramani URL: http://www.ashaar.net Last updated on: 25th November, 2001 |