|
Ashaar #034 - 'zulf' Date: 20-Apr-2001 Topic: 'zulf' Contributed by Zoya Birring: --------------------------- bahut mushkil hai duniyaa ka sa.Nvaranaa terii zulfo.N kaa pech-o-Kham nahii.n hai [Majaz] chhe.Datii hai.n kabhii lab ko kabhii ruKhsaaro.n ko tum ne zulfo.n ko bahut sar pe cha.Dhaa rakhaa hai [Khwamkhah Hyderabaadi] chehare pe mere zulf ko bikhraao kisii din kyaa roz garajate ho baras jaao kisii din [Amjad Islam Amjad] And for some more ashaar on 'zulf': niind us kii hai, dimaaG us kaa hai, raate.n us kii hai.n terii zulfe.n jis ke baazuu par pariishaa.N ho ga_ii.n [Mirza Ghalib] vo lajaaye mere savaal par ke uThaa sake na jhukaa ke sar u.Dii zulf chehare pe is tarah ke shabo.n ke raaz machal gaye [Majrooh Sultanpuri] sair-e-bahaar-o-baaG se ham ko muaaf kiijiye us ke Khayaal-e-zulf se 'Dard' kise faraaG hai [Khwaja Mir Dard] idhar Khayaal mere dil me.n zulf kaa guzaraa udhar vo khaataa huaa dil me.n pech-o-taab aayaa [Bahadur Shah Zafar] kabhii jo nikhat-e-zulf-e-nigaar aa_ii hai fazaa-e-murdaa-e-dil me.n bahaar aa_ii hai [Kausar Niyazi] [nikhat-e-zulf-e-nigaar = perfume of (her) hair] [fazaa-e-murdaa-e-dil = (in a) dead heart's environment/air] zulf-e-baraham kii jab se shanaasaa_ii hu_ii zindagii kaa chalan mujrimaanaa huaa [Sagar Siddiqui] nak_hat-e-zulf-e-pareshaa.N, daastaan-e-shaam-e-Gam subah hone tak isii andaaz kii baate.n karo [Firaq Gorakhpuri] [nakhat-e-zulf-e-pareshaa.N=disarrayed fragrant hair] jab zulf kii kaalik me.n ghul jaaye koii rahii badanaam sahii lekin gumanaam nahii.n hotaa [Meena Kumari 'Naaz'] tumhaaraa pyaar mere gesuuo.n kii uljhan ho tumhaare vaaste dil kaa chiraaG roshan ho sahar nazar se mile zulf leke shaam aaye [Tasleem Fazli] pareshaa.N rahii umr bhar par na chho.Daa terii zulf ne kaj_adaa_ii kaa dhandhaa [Zafar Gorakhpuri] zaraa un kii shoKhii to dekhiye liye zulf-e-Kham-shudaa haath me.n mere piichhe aaye dabe-dabe mujhe saa.Np kah ke Daraa diyaa [Bahadur Shah Zafar] |
||
Maintained by Nita Awatramani URL: http://www.ashaar.net Last updated on: 20th April, 2001 |