|
Ashaar #033 - 'bazm/mahafil' Date: 20-Mar-2001 Topic: 'bazm/mahafil' Contributed by Pramod Shersia: ----------------------------- mujh tak kab un kii bazm me.n aataa thaa daur-e-jaam saaqii ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab me.n [Mirza Ghalib] baat karanii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii jaisii ab hai terii mahafil kabhii aisii to na thii [Bahadur Shah Zafar] baaG kis kaam kaa jis me.n gulo.n ko shamshaad na ho lutf detii nahii.n be-shiishaa-o-saaGar mahafil [Unknown] mahafil se uTh jaane vaalo tum logo.n par kyaa ilzaam tum aabaad gharo.n ke vasii mai.n aavaaraa au badanaam [Unknown] ** This is a Mohammed Rafi song from a film - I don't recollect the name of the film ** Contributed by Aamir Jelani: --------------------------- vo ek mulaaqaat me.n hairaan kar gayaa vo bazm se gayaa aur viiraan kar gayaa Contributed by szakhter: ----------------------- bazm me.n aao kisii din kar ke tum tum solaah singaar ek qayaamat vaqt se pahale bhii aanaa chaahiye [Murad Lucknawi] mahafil-e-yaaraa.N me.n diivaano.n kaa aalam kuchh na puuchh jaam haatho.n me.n uThaaye.n to chhalakanaa chaahiye [Ibrahim Ashk] Contributed by Mujeeb Akhter: ---------------------------- vo aaye bazm me.n itanaa to 'Meer' ne dekhaa phir is ke baad chiraaGo.n me.n raushanii na rahii [Meer Taqi Meer] abhii se hosh u.De maslihat_pasando.n ke abhii mai.n bazm me.n aayaa abhii bolaa kahaa.N [Unknown] Contributed by Tariq Mahmood: ---------------------------- hu_ii ham se Khataa terii mahafil me.n aa baiThe zamii.n kii Khaak ban aasmaa.N se dil lagaa baiThe [Unknown] sunaa_ii anjuman me.n jab shab-e-Gam kii aap biitii ka_ii ro ke muskuraaye ka_ii muskuraa ke roye [Unknown] Contributed by Abhijit Mazumder: ------------------------------- muhabbat karane vaale kam na ho.nge terii mahafil me.n lekin ham na ho.nge [Hafeez Hoshiarpuri] mahafil me.n baar baar kisii par nazar ga_ii ham ne chhupaa_ii laakh magar usii par nazar ga_ii [Agha Bismil] uTh ke mahafil se mat chale jaanaa tum se raushan ye konaa konaa hai [Wajida Tabassum] jab jaam diyaa thaa saaqii ne jab daur chalaa thaa mahafil mei.n vo hosh kii sa_at kyaa kahiye kuchh yaad rahii kuchh bhuul gaye [Sagar Siddiqui] raunaq-e-bazm ban gaye lab pe hikaayate.n rahii.n dil me.n shikaayate.n rahii.n lab na magar hilaa sake [Hafeez Jalandhari] is shahar me.n kis se mile.n ham se to chhuuTii mahafile.n har shakhs teraa naam le har shakhs divaanaa teraa [Ibne Insha] bazm-e-anjum hoke bazm-e-Khaak taa bazm-e-Khayaal jis jagah jaao sunaa_ii degii insaano.n kii baat [Wamiq Jaunpuri] tere hote huye mahafil me.n jalate hai.n chiraaG log kyaa saadaa hai.n suuraj ko dikhaate hai.n chiraaG [Ahmed Faraz] mahafil me.n log chau.nk pa.De mere naam par tum muskuraa diye merii qiimat yahii to hai [Hashim Raza] tanhaa tanhaa ham ro le.nge mahafil mahafil gaaye.nge jab tak aa.Nsuu paas rahe.nge tab tak giit sunaaye.nge [Nida Fazli] jamaa kar liijiye Gamzo.n ko magar Khuubi-e-bazm bas vahii.n tak hai ke baazaar na hone paaye [Shibali] us bazm me.n mujhe nahii.n banatii hayaa kiye baiThaa rahaa agarche ishaare huaa kiye [Mirza Ghalib] buu-e-gul naalaa-e-dil duud-e-charaaG-e-mahafil jo terii bazm se nikalaa so parishaa.N nikalaa [Mirza Ghalib] Contributed by Satya: -------------------- bikharaa pa.Daa hai tere hii ghar me.n teraa vajuud bekaar mahafilo.n me.n tujhe Dhuu.NDhataa huu.N mai.n [Qateel Shifai] ----------------------------------------------------------- Moderator's Note: Due to some maintenance work being carried out, some of the contributions for the current topic - bazm/mahafil - were lost. I apologise to those whose contributions didn't make it to this edition of Ashaar. The topic for next week is 'zulf'. Please send in your contributions by March 27th. Please note that the e-mail address for sending your contributions has changed. Please e-mail your contributions to moderator@urdupoetry.com and NOT to ashaar@bizland.com ----------------------------------------------------------- And, now for some more ashaar on bazm/mahafil: yuu.N ta.Dap kar dil ke ta.Dapaayaa sar-e-mahafil mujhe us ko qaatil kahane vaale kah uThe qaatil mujhe [Jigar Moradabadi] ek aa.Nsuu ne Duboyaa mujh ko un kii bazm me.n buu.Nd bhar paanii se saarii aabaruu paanii hu_ii [Zauq] jo terii bazm se uTThaa vo is tarah uTThaa kisii kii aa.Nkh me.n aa.Nsuu kisii ke daaman me.n [Unknown] uTh kar to aa gaye hai.n terii bazm se magar kuchh dil hii jaanataa hai kis dil se aaye hai.n [Faiz] shaayad mujhe nikaal ke pachhataa rahe hai.n aap mahafil me.n is Khayaal se phir aa gayaa huu.N mai.n [Abdul Hameed Adam] phir nazar me.n phuul mahake dil me.n phir shame.n jalii.n phir tasavvur ne liyaa us bazm me.n jaane kaa naam [Faiz Ahmed Faiz] dil leke un kii bazm me.n jaayaa na jaayegaa ye mudda_ii baGal me.n chhupaayaa na jaayegaa [Daag Dehlvi] chal ai ham_dam zaraa saaz-e-tarab kii chhe.D bhii sun le.n agar dil baiTh jaayegaa to uTh aaye.nge mahafil se [Saqib Lucknawi] dil-e-muztar se puuchh ai raunaq-e-bazm mai.n Khud aayaa nahii.n laayaa gayaa huu.N [Shad Azeemabadi] |
||
Maintained by Nita Awatramani URL: http://www.ashaar.net Last updated on: 24th February, 2001 |