|
Ashaar #032 - 'tasviir' Date: 08-Mar-2001 Topic: 'tasviir' They say a picture is worth a thousand words. Here is what some poets have to say about it. Contributed by Abhijit Mazumder: ------------------------------- lagataa hai ka_ii raato.n se jaagaa thaa musavvir tasviir kii aa.Nkho.n se thakan jhaa.Nk rahii hai [Unknown] terii tasviir se karataa thaa baate.n mere ghar me.n aa_iinaa nahii.n thaa [Majaz] dekh ke jis ko dil dukhataa thaa vo tasviir jalaa dii ham ne [Farhat Shehzad] Contributed by Ritesh Chandra: ----------------------------- jalvaa na ho maanii kaa to suurat kaa asar kyaa bul_bul gul-e-tasviir kaa shaidaa nahii.n hotaa [Unknown] haadise aur bhii guzare terii ulfat ke sivaa haa.N mujhe dekh mujhe ab merii tasviir na dekh [Majrooh Sultanpuri] naqsh fariyaadii hai kis kii shoKhii-e-tahariir kaa kaaGazii hai pairahan har paikar-e-tasviir kaa [Mirza Ghalib] Contributed by Ajmal Hussain: ---------------------------- chand tasviir-e-butaa.N chand hasiino.n ke Khatuut baad marane ke mre ghar se ye saamaa.N nikalaa [Mirza Ghalib] dil gayaa thaa to ye aa.Nkhe.n bhii ko_ii le jaataa mai.n faqat ek hii tasviir kahaa.N tak dekhuu.N [Ahmed Nadeem Qasmi] Contributed by Pramod Shersia: ----------------------------- merii tasviir me.n rang aur kisii kaa to nahii.n gher le mujh ko sab aake mai.n tamaashaa to nahii.n ham un kii tasviir dil me.n chhipaaye baiThe hai.n viiraan zindagii me.n ek gul khilaaye baiThe hai.n [Unknown] Contributed by Arshad: --------------------- maanind-e-aks dekhaa use aur na mil sake kis ruu say phir kahe.nge ke roz-e-visaal thaa [Mir Hasan] sunaat ke musavvir ne sabaahat ke safe par tasviir banaa_ii hai tere nuur ko hal kar [Wali Deccani] uruus-e-maanaa kii tasviir khai.nch aatii hai 'Sauda' ko ko_ii Khaatir me.n us kii 'maani'-o-'behzad' aataa hai [Mohammed Rafi Sauda] rahe hai.n naqsh mere chashm-o-dil par yuu.N terii suurat musavvir kii nazar me.n jis tarah tasviir phiratii hai [Hasrat Azeemabadi] Contributed by Zoya Birring: --------------------------- muddato.n pahale jab tujh se taarruf bhii na thaa terii tasviir banaate the Khayaalat mere [Unknown] tasviir kyo.n dikhaaye.n tumhe.n naam kyo.n bataaye.n laaye hai.n ham kisii se kisii bevafaa kii hai [Bekhud Dehlvi] hamane dikhaa dikhaa terii tasviir jaa-ba-jaa har ik ko apanii jaan kaa dushman banaa liyaa [Jagannath Azad] aap ne tasviir bhejii mai.n ne dekhii Gaur se har adaa achchhii Khaamoshii kii adaa achchhii nahii.n [Jaleel Manikpuri] terii suurat se nahii.n milatii kisii kii suurat ham jahaa.N me.n terii tasviir liye phirate hai.n [Nasikh] taab-e-nazzaaraa nahii.n aa_iinaa kyaa dekhane duu.N aur ban jaye.nge tasviir jo hairaa.N ho.nge [Momin Khan Momin] Khushaamad ai dil-e-betaab is tasviir kii kab tak ye bolaa chaahatii hai par na bolegii na bolii hai [Ameer Meenai] Galat hai aap na the ham_kalaam Khalvat me.n aduu se aap kii tasviir bolatii hogii [Riaz Khairabadi] Contributed by Ibrahim Taj: -------------------------- lab-e-Khaamosh se izhaar-e-tamannaa chaahe Gark hone ko bhii tasviir kaa lahajaa chaahe javaanii kyaa hai goyaa ek tasviir muhabbat ke jis me.n rango.n kii avaz Khuun-e-jigar bharate hai.n That's all on 'tasviir'. The topic for next week is 'mahafil/bazm'. If you want to share your favourite ashaar on this topic with other members of Ashaar, please e-mail them to moderator@urdupoetry.com by March 14th, 2001. Or use the online form at http://www.ashaar.net/contact.html Before I leave, here are some snippets from songs on 'tasviir': Two old songs by Talat Mahmood: tasviir banaataa huu.N tasviir nahii.n banatii ek Khvaab saa dekhaa hai taabiir nahii.n banatii [Khumar Barabankvi for the film Baaradari] and, tasviir terii dil meraa bahalaa na sakegii ye terii tarah mujh se yuu.n sharamaa na sakegii [from the film Anarkali] Then there is Rafi's tasviir banaataa huu.N terii Khuun-e-jigar se [Shakeel Badayuni for Diwana] and, jo baat tujh me.n hai terii tasviir me.n nahii.n, tasviir me.n nahii.n rango.n me.n teraa aks Dhalaa tuu na Dhal sakii saa.Nso.n kii aa.Nch jism kii Khushbuu na Dhal sakii [Sahir Ludhianvi in Taaj Mahal] There are others, of course. But that's another story! ;-) |
||
Maintained by Nita Awatramani URL: http://www.ashaar.net Last updated on: 24th February, 2001 |