|
Ashaar #031 - 'mulaaqaat' Date: 24-Feb-2000 Topic: 'mulaaqaat' Next week's topic is 'tasviir'. Please send in your shers on 'tasviir' by March 2nd to moderator@urdupoetry.com Contributed by Anuradha Krishnamurthy: ------------------------------------- jaane vaale se mulaaqaat naa hone paa_ii dil kii dil me.n hii rahii baat naa hone paa_ii [Shakeel Badayuni] Contributed by S. Sheriff: ------------------------- kal raat zindagii se mulaaqaat ho ga_ii lab tahr-tharaa rahe the magar baat ho ga_ii [Shakeel Badayuni] Contributed by Asim Chohan: -------------------------- patthar hai tere haath me.n yaa ko_ii phuul hai jab tuu qubuul hai teraa sab kuchh qubuul hai phir tuune diyaa hai nayaa faisalaa mujhe sar par abhii to pichhalii musaafat kii dhuul hai tuu dil pe bojh leke mulaaqaat ko na aa milanaa hai is tarah to bichha.Danaa qubuul hai [Unknown] Contributed by Zoya Birring: --------------------------- ab kaun baat rah ga_ii ye baat bhii ga_ii yaani kabhii kabhii kii mulaaqaat bhii ga_ii [Mubarak Azeemabadi] aaj to mil ke bhii na mile ho.n tujh se chau.nk uThate the kabhii terii mulaaqaat se ham [Jan Nissar Akhtar] na jii bhar ke dekhaa na kuchh baat kii ba.Dii aarazuu thii mulaaqaat kii [Bashir Badr] mai.n ne maanaa ke mujhe un se muhabbat na rahii ham_nashii.n phir bhii mulaaqaat se jii Darataa hai [Hasan Naeem] beqaraarii thii sab ummiid-e-mulaaqaat ke saath ab vo agalii sii daraazii shab-e-hijraa.N me.n nahii.n [Altaf Husain Hali] ye ek shab kii mulaaqaat bhii Ganiimat hai kise hai kal kii Khabar tho.Dii duur saath chalo [Ahmed Faraz] munhasir vaqt-e-muqarrar pe mulaaqaat hu_ii aaj ye aap kii jaanib se na_ii baat hu_ii [Hasrat Mohani] kahaa.N vo shoKh mulaaqaat Khud se bhii na hu_ii bas ek baar hu_ii aur phir kabhii na hu_ii [Jigar Moradabadi] Contributed by A. Rehman Sayed: ------------------------------ us ne kahaa itanii mulaaqaat bahut hai mai.n ne kahaa ruk jaao abhii raat bahut hai aa.Nsuu mere tham jaaye.n to phir shauq ke jaanaa aise me.n kahaa.N jaaoge barasaat bahuut hai And here are some more on 'mulaaqaat': uzr aane me.n bhii hai aur bulaate bhii nahii.n baa_is-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhii nahii.n [Daag Dehlvi] huuro.ns e na hogii ye madaaraat kisii kii yaad aayegii jannat me.n mulaaqaat kisii kii [Bekhud Dehlvi] chaa.Nd nikalaa thaa magar raat na thii pahalii sii ye mulaaqaat, mulaaqaat na thii pahalii sii rang kuchh kam to huaa aaj tere milane se ye alag baat ke vo baat na thii pahalii sii [Nasir Kazmi] kaise kah duu.N ki mulaaqaat nahii.n hotii hai roz milate hai.n magar baat nahii.n hotii hai [Shakeel Badayuni] musaafir hai.n ham bhii musaafir ho tum bhii kisii mo.D pe phir mulaaqaat hogii [Bashir Badr] dil me.n hai mulaaqaat kii Khvaahish kii dabii aag mehandii lage haatho.n ko chhupaa kar kahaa.N rakhuu.N [Kishwar Naheed] "Nadeem" jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii ki ek chehare ke piichhe hazaar chehare the [Ahmed Nadeem Qasmi] har mulaaqaat kaa anjaam judaa_ii kyuu.N hai ab to har vaqt yahii baat sataatii hai hame.n [Shahryar] tujh se mil kar hame.n ronaa thaa bahut ronaa thaa tangii-e-vaqt-e-mulaaqaat ne rone na diiyaa [Sudarshan Faakir] |
||
Maintained by Nita Awatramani URL: http://www.ashaar.net Last updated on: 24th February, 2001 |