|
Ashaar #029 - 'Eid' Date: 29-Dec-2000 Topic: 'Eid' Much as I wanted to send this out on Eid, I just couldn't do it. I hope you will enjoy these ashaar and also accept my apologies. This is the last post on Ashaar in the year 2000. Posting will resume from February 2001 when I return from my vacation. Here is a sneak peek at some of the forthcoming topics for Ashaar: saaqii mulaaqaat tasviir mahafil zulf sharaab chaa.Nd/chaa.Ndanii rahazan-o-rahabar firaaq You can send in your favourite ashaar on these topics to ashaar@b... or use the online form at http://www.ashaar.net/contact.html Probably the most well known sher on Eid, much favoured in films and consequently so abused that people hesitate to use it nowadays: 'Eid' kaa din hai gale aaj to lag jaa zaalim rasm-e-duniyaa bhii hai mauqaa bhii hai dastuur bhii hai And here are the rest: Contributed by Jafar: --------------------- raas aa jaatii.n hame.n bhii 'Eid' kii Khushiyaa.N tamaam kaash tuu bhii paas hotaa 'Eid' ke lamhaat me.n [Unknown] sau alfaaz kam hai.n aur tamannaaye.n hazaaro.n mubaarak ho.n merii jaanib se tumhe.n 'Eid' kii Khushiyaa.N [Unknown] mai.n ne chaahaa tujhe 'Eid' pe kuchh pesh karuu.N jis me.n ehasaas ke sab rang ho.n raushan raushan jis me.n aa.Nkho.n ke taraashe hue motii laakho.n jis me.n shaamil ho mere qalb kii dha.Dakan dha.Dakan [Unknown] Contributed by Srinivas Gajapati: -------------------------------- dastuur hai duniyaa kaa magar ye to bataao ham kis se mile.n kis se kahe.n 'Eid' mubaarak [Unknown] mujhe mil gayaa bahaanaa terii diid kaa kaisii Khushii le ke aayaa chaa.Nd 'Eid' kaa [Sahir Ludhianvi] Contributed by Ibrahim Taj: -------------------------- itane me.n aur charKh ne miTTii paliit kii bachche ne muskuraa ke Khabar dii jo 'Eid' kii [Josh Malihabadi] *** The above lines are from Josh's namz titled 'Mufliso.n ki Eid'. You can find the entire nazm at http://www.mehfil-e-gazal.net/meg359.html *** roze kii Khushii se the jo zard zard gaal Khush ho jaaye dekhate hii 'Eid' ke hilaal [Unknown] [hilaal = crescent moon] *** should it be Khushii in the first misraa (line) in the above sher? *** Contributed by Ali Farhan: ------------------------- ham ne is saal bhii na paa_ii tere Gam se nijaat ham ne is saal bhii na dekhaa 'Eid' kaa chaa.Nd [Unknown] kyaa lutf-e-'Eid' hai jo agar tum se duur huu.N guzaregaa roz-e-'Eid' tasavvur me.n aap ke [Unknown] ghero me.n hai jo shaad use 'Eid mubaarak ham jis ko nahii.n yaad use 'Eid' mubaarak [Unknown] Contributed by Maryam G: ----------------------- ahabaab puuchhate hai.n ba.Dii saadagii ke saath tuu ab ke saal 'Eid' manaayegaa kis tarah [Unknown] Gam hii Gam hai.n terii ummiid me.n kyaa rakkhaa hai 'Eid aayaa kare ab 'Eid' me.n kyaa rakkhaa hai [Unknown] dekhaa hilaal-e-'Eid' to aayaa teraa Khayaal vo aasmaa.N kaa chaa.Nd hai tuu meraa chaa.Nd hai [Unknown] Khud to aaye nahii.n aur 'Eid chalii aa_ii hai 'Eid' ke roz mujhe yuu.N na sataaye ko_ii [Unknown] is meharabaan kii nazar-e-inaayat kaa shukriyaa tohafaa diyaa hai 'Eid' pe ham ko judaa_ii kaa [Unknown] dekhaa hilaal-e-'Eid' to tum yaad aaye is mahviyat me.n 'Eid hamaarii guzar ga_ii [Unknown] I hope you all had a wonderful Eid. Best wishes for a happy and prosperous New Year. See you all in February 2001. |
||
Maintained by Nita Awatramani URL: http://www.ashaar.net Last updated on: 24th December, 2000 |