|
Ashaar #024 - 'mehandii/hinaa' Date: 03-Nov-2000 Topic: 'mehandii/hinaa' Thank you for your contributions. I received some beautiful and fragrant ashaar. I am sure everyone will enjoy reading them as much as I did. The topic for next week is 'qaasid' (messenger/courier). If you would like to share your favourite ashaar on 'qaasid' with us, please e-mail them to me at moderator@urdupoetry.com by November 10th. Or, if you prefer, use the online form to send us your contribution http://www.ashaar.net/contact.html Contributed by Tanweer Alam --------------------------- cha.nd maasuum se patto.n kaa lahuu hai "Faakir" jis ko mahabuub ke haatho.n kii hiinaa kahate hai.n [Sudarshan Fakir] Contributed by Ibrahim Taj -------------------------- na mere zaKhm khile hai.n na teraa rang-e-hinaa mausam aaye hii nahii.n ab ke gulaabo.n vaale [Ahmed Faraz] zaKhm-e-tanhaa_ii me.n Khushbuu-e-hinaa kis kii thii saayaa diivaar pe meraa thaa sadaa kis kii thii [Muzaffar Warsi] kyaa surmaa-bharii aa.Nkho.n se aa.Nsuu nahii.n bahate kyaa mehandii lage haatho.n se maatam nahii.n hotaa [Riaz Khairabadi] [maatam = mourning] Contributed by Abhay Ghaisas ---------------------------- Khuu.n hai dil Khaak me.n ahvaal-e-butaa.N par yaanii un ke naaKhuun hue mohataaj-e-hinaa mere baad [Mirza Ghalib] [ahvaal =state/condition; naaKhuun = nails; mohataaj = need/want] hatheliyo.n kii du_aa phuul ban ke aa_ii ho kabhii to rang mere haath kaa hinaa_ii ho [Parveen Shakir] gulaabii paa.Nv mere champa_ii banaane ko kisii ne sahan me.n mehandii baa.D ugaa_ii ho [Parveen Shakir] tere tohfe to sab achchhe hai.n magar mauj-e-bahaar ab ke mere liye Khushbuu-e-hinaa aa_ii ho [Parveen Shakir] [tohfaa = gift] khil uThe gul yaa khile dast-e-hinaa_ii tere har taraf tuu hai to phir teraa pataa kis se kare.n [Mallikzada Manzoor] yaar thaa gulazaar thaa baad-e-sabaa thii mai.n na thaa laayaq-e-paa-bos-e-jaa.N kyaa hinaa thii mai.n na thaa [Zafar] [laayaq-e-paa-bos-e-jaa.N = worthy of kissing beloved's feet] haath kyo.n baa.Ndhe mere chhallaa agar chorii huaa ye saraapaa shoKhii-e-rang-e-hinaa thii mai.n na thaa [Zafar] [saraapaa = from head to toe] Daal kar Khaak mere Khuun pe qaatil ne kahaa kuchh ye mehandii nahii.n merii ke miTaa bhii na sakuu.N [Ameer Minai] mai.n bhii palako.n pe sajaa luu.Ngaa lahuu kii buu.Nde.n tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hinaa ho jaanaa [Ahmed Faraz] arz-e-dakkan me.n jaan to dilli me.n dil banii aur shahar laKhanau me.n hinaa ban ga_ii Gazal [Ganesh Bihari Tarz] vo aa.Nkho.n me.n kaajal vo baalo.n me.n gajaraa hathelii pe us ke hinaa mahakii mahakii [Hasrat Jaipuri] sabt huu.N dast-e-Khaamoshii pe hinaa kii suurat naa-shuniidaa hii sahii teraa kahaa huu.N mai.n bhii [Mazhar Imam] [sabt = inscribed; dast = hand; naa-shuniidaa = unheard] vo haath paraaye ho bhii gaye ab duur kaa rishtaa hai "Qaisar" aatii hai merii tanhaa_ii me.n Khushbuu-e-hinaa dhiire dhiire [Qaiser ul Jafri] Contributed by Chandni ---------------------- mehandii mere lahuu kii mubaarak ho aap ko rang-e-hinaa is me.n hai aur buu-e-vafaa bhii hai [Unknown] Contributed by Eqbal -------------------- rang laatii hai hinaa patthar pe ghis jaane ke baad surKh-ruu hotaa hai insaa.N thokare.n khaane ke baad [Unknown] [surKh-ruu = successful] na kar ab na bahaanaa taraash ke mai.n Khush huu.N ke dil ka aaKhirii qatraa bhii tere kaam aayaa [Ahmed Nadeem Qasmi] hinaa kaa rang ye hargiz nahii.n hai sach bataa zaalim ye kis ka phuul saa dil tuu ne paao.n se masal Daalaa [Unknown] mehandii ke vaaste vo lahuu maa.Ngate hai.n roz dil denaa un ko jaan kaa be-naamaa ho gayaa [Kaleem Aajiz] diivaar-o-dar pe Khuun ke chhii.NTe jaa-ba-jaa bikharaa huaa hai rang-e-hinaa tere shahar me.n [Kaif Azeemabadi] Khushbuu-e-hinaa kahanaa narmii-e-sabaa kahanaa jo zaKhm mile tum ko phuulo.n kii qabaa kahanaa [Kaif Azeemabadi] [qabaa = long coat like garment] hamaare qatl se qaatil ko tajarubaa ye huaa lahuu lahuu bhii hai, mehandii bhii hai sharaab bhii hai [Kaleem Aajiz] [tajarubaa = experience] Contributed by Trisha: --------------------- shaamil hai meraa Khuun-e-jigar terii hinaa me.n ye kam hai to ab Khuun-e-vafaa saath liye jaa [Sahir Ludhianvi] Moderator's note: This is from the song "barbaad-e-muhabbat kii duaa saath liye jaa" from the film Laila Majnu starring Rishi Kapoor and Ranjita (her debut film, I believe). |
||
Maintained by Nita Awatramani URL: http://www.ashaar.net Last updated on: 4th November, 2000 |