|
Ashaar #020 - 'ghar' Date: 30-Sep-2000 Topic: 'ghar' Thanks to all those who sent in their favourite ashaar on 'ghar'. The topic for the next edition of ashaar is 'galii/kuuchaa'. The deadline for sending in your contributions is October 12th. A request - if you know the name of the poet, please add that, too. As in the past few posts, we start off with some ashaar by Mirza Ghalib. These were compiled and sent in by Deepak Purohit thereby easing much of my work. :-) Thanks Deepak. Contributed by Deepak Purohit: ----------------------------- vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii qudrat hai kabhii ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n [Mirza Ghalib] be-dar-o-diivaar kaa ik ghar banaayaa chaahiye ko_ii ham-sayaa na ho aur paasabaa.N ko_ii na ho [Mirza Ghalib] rahe hai.n yuu.N gah-o-begah kii kuu-e-dost ko ab agar na kahiye ki dushman kaa ghar hai kyaa kahiye [Mirza Ghalib] tum maah-e-shab-e-chaar daaham the mere ghar ke phir kyuu.N na rahaa ghar kaa vo nakshaa ko_ii din aur [Mirza Ghalib] ug rahaa hai dar-o-diivaar pe sabzaa "Ghalib" ham bayaabaa.N me.n hai.n aur ghar me.n bahaar aa_ii hai [Mirza Ghalib] dil me.n zauq-e-vasl-o-yaad-e-yaar tak baaqii nahii.n aag is ghar ko lagii aisii ki jo thaa jal gayaa [Mirza Ghalib] aaye hai.n bekasii-e-ishq pe ronaa "Ghalib" kis ke ghar jaayegaa sailaab-e-balaa mere baad [Mirza Ghalib] apanii galii me.n mujh ko na kar dafn baad-e-qatl mere pate se Khalq ko kyuu.N teraa ghar mile [Mirza Ghalib] chho.Daa na rashk ne ki tere ghar kaa naam luu.N har ek se puuchhataa huu.N ki jaa_uu.N kidhar ko mai.n [Mirza Ghalib] ek hangaamaa pe mauquuf hai ghar kii raunaq nauhaa-e-Gam hii sahii naGmaa-e-shaadii na sahii [Mirza Ghalib] kyaa hii rizvaan se la.Daa_ii hogii ghar teraa Khuld me.n gar yaad aayaa [Mirza Ghalib] ko_ii viiraanii sii viiraanii hai dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa [Mirza Ghalib] ghar hamaaraa jo na rote bhii to viiraa.N hotaa bahar gar bahar na hotaa to bayaabaa.N hotaa [Mirza Ghalib] nazar me.n khaTake hai bin tere ghar kii aabaadii hameshaa rote hai.n hai.n ham dekh ke dar-o-diivaar [Mirza Ghalib] Contributed by R.K. Anuradha: ---------------------------- nagaii nagarii phiraa musaafir ghar kaa rastaa bhuul gayaa kyaa hai teraa kyaa hai meraa apanaa paraayaa bhuul gayaa [Miraji] tanhaa_ii ko ghar se ruKhsat kar to do socho kis ke ghar jaayegii tanhaa_ii [Zafar Gorakhpuri] yaad nahii.n kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye us kii galiyo.n se jab lauTe apanaa bhii ghar bhuul gaye Khuub gaye pardes ki apane diivaar-o-dar bhuul gaye shiish-mahal ne aisaa gheraa miTTii ke ghar bhuul gaye [Nazeer Baqri] Contributed by Sofia: -------------------- ghar to aisaa kahaa.N thaa lekin dar-ba-dar hai.n to yaad aataa hai [Unknown] ye sard raat ye aavaragii ye niind kaa bojh ham apane shahar me.n hote to gar gaye hote [Unknown] ko_ii aake jaise chalaa gayaa ko_ii jaake jaise gayaa nahii.n mujhe apanaa ghar bhii ghar lagaa to Khayaal terii taraf gayaa [Unknown] sunate hai.n ke apane hii the ghar luuTane vaale achchhaa huaa mai.n ne ye tamaashaa nahii.n dekhaa [Unknown] baarish hu_ii to ghar ke dariiche se lage ham chup-chaap sogavaar tumhe.n sochate rahe [Unknown] sa.Dak ko chho.D kar chalanaa pa.Degaa ke mere ghar kaa kachchaa raastaa hai [Unknown] jis jaa makiin banane ke dekhe the mai.n ne Khvaab us ghar mai.n ek shaam kii mahamaa.N bhii na thii [Parveen Shakir] raste me.n mil gayaa to shariik-e-safar na jaan jo chhaao.n maharbaa.N ho use apanaa ghar na jaan [Parveen Shakir] ghar aap hii jagamagaa uThegaa dahaliiz pe ik qadam bahut hai [Parveen Shakir] bahut se log the mahamaa.N mere ghar lekin vo jaanataa thee ke ehatemaam kis ke liye [parveen Shakir] kal jaane kaise honge kahaa.N honge ghar ke log aa.Nkho.n me.n ek baar bharaa ghar sameT luu.N [Ajmal Ajmali] log Tuut jaate hai.n ek ghar ke banaane me.n tum taras nahii.n khaate bastiyaa.N jalaane me.n [Bashir Badr] diivaar khastaa-haal hai aur dar udaas hai jab se ko_ii gayaa hai meraa ghar udaas hai [Nasir Basheer] yuu.N hii besabab na phiraa karo kisii shaam ghar bhii rahaa karo vo Gazal kii sachchhii kitaab hai use chupake chupake pa.Dhaa karo [Bashir Badr] ghar nayaa bartan baye kapa.De naye in puraane kaaGazao.n kaa kya kare.n [Jaun Eliya] ilaahii mere dost ho.n Khairiyat se ye kyuu.N ghar me.n patthar nahii.n aa rahe hai.n [Khumar Barabankvi] Contributed by "a sincere friend": --------------------------------- jab ghar ko mere aag lagii to kuchh maal bachaa thaa jalane se aur vo bhii un ke haath lagaa jo aag bujhaane aaye the [Unknown] Contributed by Shahzad Gul: -------------------------- mere Khudaa mujhe itanaa to motabir kar de mai.n jis makaan me.n rahataa huu.N us ko ghar kar de [Unknown] use kahanaa ke palko.n par na Taa.Nke Khvaab kii jhaalar samandar ke kinaare ghar banaa ke kuchh nahii.n milataa ye achchhaa hai ke aapis ke bharam na TuuTane paaye.n kabhii bhii dosto.n ko aazamaa kar kuchh nahiiln milataa (Unknown] tujh bin ghar kitanaa suunaa thaa diivaaro.n se Dar lagataa thaa bhuulii nahii.n vo shaam-e-judaa_ii mai.n us roz bahut royaa thaa [Nasir Kazmi] gharo.n pe naam the naamo.n ke saath ohade the bahut talaash kiyaa ko_ii aadamii na milaa [Bashir Badr] -------------------------------------------------- Moderator's Note: Due to the large number of entries, I am unable to post all the entries. However, everyone who sent in their contribution is listed here. The web page on 'ghar' will have all the entries. Please check the web site from time to time for more updates. You will be pleased to know that Ashaar has its own home on the Net now - http://www.ashaar.net Please let me know what you think of the new website and how it can be improved to serve you better. |
||
Maintained by Nita Awatramani URL: http://www.ashaar.net Last updated on: 19th October, 2000 |