|
Ashaar #019 - 'naqaab' Date: 21-Sep-2000 Topic: 'naqaab' Thanks to everyone who sent in their ashaar on the topic of 'naqaab'. Here is one of my favourite sher on 'naqaab': go havaa-e-gulsitaa.N ne mere dil kii laaj rakh lii vo naqaab Khud uThaate to kuchh aur baat hotii [Aga Hashr] Contributed by Sofia: -------------------- meraa qalaam nahii.n tasbiih us mubaaliG kii jo bandagii kaa bhii har dam hisaab rakhataa hai meraa qalaam nahii.n miizan aise aadil kii jo apane chehare pe dohaaa naqaab rakhataa hai [Ahmed Faraz] Contributed by a 'sincere friend' :-) --------------------------------- chehare kaa nisf hissaa zer-e-naqaab kar ke karate hai.n husn vaale diidaar me.n milaavaT [Unknown] Contributed by R.K. Anuradha: ---------------------------- sarakatii jaaye hai ruKh se naqaab aahistaa-aahistaa nikalataa aa rahaa hai aaftaab aahistaa-aahistaa [ Ameer Minai] kahii.n chha.Nv hai kahii.n dhuup hai kahii.n aur hii ko_ii ruup hai ka_ii chehare is me.n chhupe hu_e ik ajiib sii ye naqaab hai [Rajesh Reddy] Contributed by Deepak Purohit: ----------------------------- ulaT de ai sabaa tuu hii naqaab-e-ruKh ko chehare se kabhii to dekh le.n ham bhii zaraa sarakaar kii suurat [Siddiqui] ** Doesn't feel like Sagar Siddiqui so which Siddiqui can this be?** sharm-e-rusvaa_ii se jaa chhupanaa naqaab-e-Khaak me.n Khatm hai ulfat kii tujh par pardaa-daarii haaye haaye [Mirza Ghalib] naqaab kahatii hai mai.n pardaa-e-qayaamat huu.N agar yaqii.n na ho dekh lo uThaa ke mujhe [Jaleel Manikpuri] aaraa_ish-e-jamaal se faariG nahii.n hanoz pesh-e-nazar hai aa_iinaa daa_im naqaab me.n [Mirza Ghalib] muskuraa kar Daal dii ruKh par naqaab mil gayaa jo kuchh kii milanaa thaa javaab [Moen Ahsan Jazbi] be-pardaa suu-e-vaadii-e-majanuu.N guzar na kar har zarre ke naqaab me.n dil beqaraar hai [Mirza Ghalib] haa.N kyaa huaa vo hausalaa-e-diid ahal-e-dil dekho na vo naqaab uThaaye huye to hai.n [Majaz] mujh ko Khabar rahii na ruKh-e-benaqaab kii hai Khud numuud-e-husn me.n shaan-e-hijaab kii [Asghar Gondvi] hai dekhane vaalo.n ko sambhalane kaa ishaaraa tho.Dii naqaab aaj vo sarakaaye huye hai.n [Arsh Malsiyani] Some more ashaar on 'naqaab': merii hairat kii qasam aap uThaye.n to naqaab meraa zimmaa hai ki jalve na pareshaa.N honge [Jigar Moradabadi] dekhe baGair haal ye hai iztiraab kaa kyaa jaane kyaa ho pardaa jo uTThe naqaab kaa [Asar Sahbai] "Aziz" muu.Nh se vo apane naqaab to ulaTe.n kare.nge jab agar dil pe iKhtiyaar rahaa [Aziz Lucknawi] Topic for next week is 'ghar'. Looking forward to hearing from you all by September 28th. Please send your favourite ashaar to urdu_poetry@hotmail.com |
||
Maintained by Nita Awatramani URL: http://www.ashaar.net Last updated on: 19th October, 2000 |