|
Ashaar #009 - 'dost/dostii' Date: 18-Apr-2000 Topic: 'dost/dostii' The topic for next week is 'Khaamoshii'. Please send in your contributions by May 6th. Contributed by Ather Ali Shaikh: mujhe mere dosto.n se bachaa_iye "Rahi" dushmano.n se mai.n Khud nipaT luu.Ngaa [Saeed Rahi] Contributed by Deepak Purohit: dost Gam_Khvaarii me.n merii sa_ii farmaaye.nge kyaa zaKhm ke bharane talak naaKhuun na ba.Dh jaaye.nge kyaa [Mirza Ghalib] ai dost yuu.N to ham terii hasarat ko kyaa kahe.n lekin ye zi.ndagii bhii ko_ii zi.ndagii nahii.n [Firaq Gorakhpuri] jo munkir-e-vafaa ho fareb us pe kyaa chale kyo.n badagumaa.N huu.N dost se dushman ke baab me.n [Mirza Ghalib] nahii.n gar hamdardii aasaa.N na ho ye rashk kyaa kam hai na dii hotii Khudaayaa aarazuu-e-dost dushman ko [Mirza Ghalib] bhuul shayad bahut ba.Dii kar lii dil ne duniyaa se dostii kar lii [Bashir Badr] tum takalluf ko bhii iKhlaas samajhate ho "Faraz" dost hotaa nahii.n har haath milaane vaalaa [Ahmed Faraz] badagumaa.N ho ke mil aaii dost jo milanaa hai tujhe ye jhijhakte hue milanaa koi milanaa bhii nahii.n [Firaq Gorakhpuri] [badagumaa.N = without doubt/suspicion] hame.n bhii dosto.n se kaam aa pa.Daa yaanii hamaare dosto.n ke bevafaa hone kaa vaqt aayaa [Hari Chand Akhtar] "Ghalib" nadiim-e-dost se aatii hai buu-e-dost mashaGuul-e-haq huu.N ba.ndagii-e-butaraab me.n [Mirza Ghalib] dosto.n se aaj mulaaqaat kii shaam hai ye sazaa kaaT ke phir apane ghar ko jaa_uu.Ngaa [Mazhar Imam] dushmano.n se pashemaa.N honaa pa.Daa dosto.n kaa Khuluus aazamaane ke baad [Khumar Barabankvi] haTaaye the jo raah se dosto.n kii vo patthar mere ghar me.n aane lage hai.n [Khumar Bbarabankvi] saaf kab imtihaan lete hai.n vo to dam deke jaan lete hai.n zid har ek bat me.n nahii.n achchhii dost kii dost maan lete hai.n [Daag Dehlvi] giregii kahaa.N ye barq dosto meraa to kahii.n aashiyaa.N bhii nahii.n [Mumtaz Mirza] kyaa lutf-e-dostii ki nahii.n lutf-e-dushmanii dushman ko bhii jo dehiye puuraa kahaa.N hai ab [Daag Dehlvi] mai.n muddato.n jiyaa huu.N kisii dost ke baGair ab tum bhii saath chho.Dane ko kah rahe ho, Khair [Firaq Gorakhpuri] ham se puuchho na dostii kaa silaa dushmano.n kaa bhii dil hilaa degaa [Sudarshan Faakir] vo zamaanaa bhii tumhe.n yaad hai tum kahate the dost duniyaa me.n nahii.n "Daag" se bahatar apanaa [Daag Dehlvi] merii Khushii se mere dosto.n ko Gam hai "Shamim" mujhe bhii is kaa bahut Gam hai kyaa kiyaa jaaye [Shamim Jaipuri] Contributed by Pradipmaya: dostii jab kisii se kii jaaaye dushmano.n kii bhii raay lii jaaye [Raha Indori] [raay = opinion] Contributed by Nazneen Zaidi: ai dost tum se tark-e- ta'alluq ke baa-vajuud mahasuus kii hai terii zaruurat kabhii kabhii [Sahir Ludhianvi] Contributed by Sandeep Nain ye kahaa.N kii dostii hai ke bane hai.n dost naaseh ko_ii chaarasaaz hotaa ko_ii Gam_gusaar hotaa [Mirza Ghalib] ye fitnaa aadamii kii Khaanaaviraanii ko kyaa kam hai hue tum dost jis ke dushman us kaa aasamaa.N kyo.nho [Mirza Ghalib] Contributed by Syed Ayaz Quadri: laakh be-mehar sahii dost to rakhate ho "Faraz" inhe.n deKho ke jinhe.n ko_ii bhii sitamagar na milaa [Ahmed Faraz ] Some more couplets: yo.n lage dost teraa mujhase Khafaa ho jaanaa jis tarah phuul se Khushbuu kaa judaa ho jaanaa [Qateel Shifai] Dhuu.NDhane par bhii na milataa thaa mujhe apanaa vajuud mai.n talaash-e-dost me.n yuu.N benishaa.N thaa dosto [Jagannath Azad] dost ban ban ke mile mujhako miTaanevaale mai.n ne dekhe hai.n kaii ra.ng badalanevaale [Saeed Rahi] mere ham_nafas, mere ham_navaa, mujhe dost banake daGaa na de mai.n huu.N dard-e-ishq se jaa.N ba lab, mujhe zi.ndagii kii duaa na de [Shakeel Badayuni] [ba lab = at the brink of] ai dost miT gayaa huu.N fanaa ho gayaa huu.N mai.n is daur-e-dostii kii davaa ho gayaa huu.N mai.n [Hafeez Jullundhary] [daur = age/era] har taraf ziist kii raaho.n me.n ka.Dii dhuup hai dost bas terii yaad ke saaye hai.n panaaho.n kii tarah [Sudarshan Faakir] [ziist = life; ka.Dii = strong; panaah = shelter/protection] Khudaa jab dost hai ai "Daag" kyaa dushman se andeshaa hamaaraa kuchh kisii kii dushmanii se ho nahii.n sakataa [Daag Dehlvi] [andeshaa = apprehension/fear] apano.n ne nazar pherii to dil ne to diyaa saath duniyaa me.n ko_ii dost mere kaam to aayaa [Shakeel Badayuni] vo meraa dost hai saare jahaa.N ko hai maaluum daGaa kare vo kisii se to sharm aaye mujhe [Qateel Shifai] [daGaa = betrayal] |
||
Maintained by Nita Awatramani URL: http://www.ashaar.net Last updated on: 19th October, 2000 |