vo ko_ii aur na thaa chand Khushk patte the
vo ko_ii aur na thaa chand Khushk patte the
shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the
[Khushk=dry; chand=few; shajar=tree; fasl-e-gul=spring]
abhii abhii tumhe.n sochaa to kuchh na yaad aayaa
abhii abhii to ham ek-duusare se bichha.De the
tumhaare baad chaman par jab ik nazar Daalii
kalii kalii me.n Khizaa.N ke chiraaG jalate the
tamaam umr vafaa ke gunaah_gaar rahe
ye aur baat ki ham aadamii to achchhe the
shab-e-Khaamosh ko tanhaa_ii ne zabaa.N de dii
pahaa.D guu.Njate the dasht san_sanaate the
[shab-e-Khaamosh=silent night; dasht=desert]
vo ek baar mare jin ko thaa hayaat se pyaar
jo zindagii se gurezaa.N the roz marate the
[hayaat=life; gurezaa.N=to run away from]
naye Khayaal ab aate hai.n Dhal ke zahan me.n
hamaare dil me.n kabhii khet lah_lahaate the
[zahan=mind]
ye iratiqaa kaa chalan hai ki har zamaane me.n
puraane log naye aadamii se Darate the
[iratiqaa=progressive]
'Nadeem' jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii
ki ek chehare ke piichhe hazaar chehare the
|