saaf zaahir hai nigaaho.n se ki ham marate hai.n
saaf zaahir hai nigaaho.n se ki ham marate hai.n
muu.Nh se kahate huye ye baat magar Darate hai.n
ek tasvir-e-muhabbat hai javaanii goyaa
jis me.n rango.n kii ivaz Khunn-e-jigar bharate hai.n
[ivaz=instead of]
isharat-e-raftaa ne jaa kar na kiyaa yaad hame.n
isharat-e-raftaa ko ham yaad kiyaa karate hai.n
[isharat-e-raftaa=happiness of the days gone by]
aasmaa.N se kabhii dekhii na ga_ii apanii Khushii
ab ye haalaat hai.n ki ham ha.Nsate hue Darate hai.n
sher kahate ho bahut Khuub tum "Akhtar" lekin
achchhe shaayar ye sunaa hai ki javaa.N marate hai.n
|