kah rahii hai hashr me.n vo aa.Nkh sharmaa_ii hu_ii
kah rahii hai hashr me.n vo aa.Nkh sharmaa_ii hu_ii
haaye kaise is bharii mahafil me.n rusvaa_ii hu_ii
aa_iine me.n har adaa ko dekh kar kahate hai.n vo
aaj dekhaa chaahiye kis kis kii hai aa_ii hu_ii
kah to ai gul_chii.n asiiraan-e-qafas ke vaaste
to.D luu.N do chaar kaliyaa.N mai.n bhii murjhaa_ii hu_ii
mai.n to raaz-e-dil chhupaa_uu.N par chhipaa rahane bhii de
jaan kii dushman ye zaalim aa.Nkh lalchaa_ii hu_ii
Gamzaa-o-naaz-o-adaa sab me.n hai hayaa kaa lagaao
haaye re bachapan kii shoKhii bhii hai sharmaa_ii hu_ii
vasl me.n Khaalii hu_ii raqiibo.n se mahafil to kyaa
sharm bhii jaaye to jaanuu.N ke tanhaa_ii hu_ii
gard u.Dii aashiq kii turbat se to jhunjhalaa ke kahaa
vaah sar cha.Dhane lagii paa.Nv kii Thukaraa_ii hu_ii
|