Home | Index of Poets Ameer Minai

us kii hasarat hai jise dil se miTaa bhii na sakuu.N


us kii hasarat hai jise dil se miTaa bhii na sakuu.N 
Dhuu.NDhane us ko chalaa huu.N jise paa bhii na sakuu.N 

[hasarat=desire ] 

Daal kar Khaak mere Khuun pe qaatil ne kahaa 
kuchh yeh mehandii nahii.n merii ke miTaa bhii na sakuu.N 

zabt kam_baKht ne aur aa ke galaa gho.NTaa hai 
ke use haal sunaa_uu.N to sunaa bhii na sakuu.N 

[zabt=forbearance] 

us ke pahaluu me.n jo lejaa ke sulaa duu.N dil ko 
niind aisii use aaye ke jagaa bhii na sakuu.N 

[pahaluu=lap ] 

naqsh-e-paa dekh to luu.N laakh karuu.Ngaa sajade 
sar meraa arsh nahii.n hai ki jhukaa bhii na sakuu.N 

bevafaa likhate hai.n vo apanii kalam se mujh ko 
ye vo qismat kaa likhaa hai jo miTaa bhii na sakuu.N 

is tarah soye hai.n sar rakh ke mere zaano.n par 
apanii so_ii hu_ii qismat ko jagaa bhii na sakuu.N 

Home | Index of Poets Ameer Minai
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 22nd May, 2001