Gam kaa sitaaraa
merii vaadii me.n vo ik din yuu.N hii aa nikalii thii
rang aur nuur kaa bahataa huaa dhaaraa ban kar
[vaadii=valley; nuur=light]
mahafil-e-shauq me.n ik dhuum machaa dii us ne
Khalvat-e-dil me.n rahii anjuman-aaraa ban kar
[mahafil-e-shauq=gathering of love]
[Khalvat-e-dil=solitude/loneliness of the heart]
[anjuman-aaraa=one who adorns a meeting]
sholaa-e-ishq sar-e-arsh ko jab chhune lagaa
u.D ga_ii vo mere siine se sharaaraa ban kar
[sar-e-arsh=seventh heaven; sharaaraa=spark]
aur ab mere tasavvur kaa ufaq roshan hai
vo chamakatii hai jahaa.N Gam kaa sitaaraa ban kar
[tasavvur=imagination; ufaq=horizon]
|