aavaara hai.n galiyo.n me.n mai.n aur merii tanhaa_ii
aavaara hai.n galiyo.n me.n mai.n aur merii tanhaa_ii
jaaye.n to kahaa.N jaaye.n har mo.D pe rusavaa_ii
ye phuul se chehare hai.n ha.Nste hue gul_daste
ko_ii bhii nahii.n apanaa begaane hai.n sab raste
raahe.n hai.n tamaashaa_ii rahii bhii tamashaa_ii
mai.n aur merii tanhaa_ii
armaan sulagate hai.n siine me.n chitaa jaise
qaatil nazar aatii hai duniyaa kii havaa jaise
rotii hai mere dil par bajatii hu_ii shahanaa_ii
mai.n aur merii tanhaa_ii
aakash ke maathe par taaro.n kaa charaaGaa.N hai
pahaluu me.n magar mere zaKhmo.n kaa gulistaa.N hai
aa.Nkho.n se lahuu Tapakaa daaman me.n bahaar aa_ii
mai.n aur merii tanhaa_ii
har rang me.n ye duniyaa sau rang dikhaatii hai
rokar kabhii ha.Nsatii hai ha.Ns kar kabhii gaatii hai
ye pyaar kii baahe.n hai.n yaa maut kii anga.Daa_ii
mai.n aur merii tanhaa_ii
Additions by Fayaz Razvi
|