saaGar se lab lagaa ke bahut Khush hai zindagii
saaGar se lab lagaa ke bahut Khush hai zindagii
sahan-e-chaman me.n aake bahut Khush hai zindagii
[saaGar = wine-glass]
aa jaao aur bhii zaraa nazadiik jaan-e-man
tum ko qariib paake bahut Khush hai zindagii
hotaa ko_ii mahal bhii to kyaa puuchhate ho phir
be-vajah muskuraa ke bahut Khush hai zindagii
[mahal = opportunity or often (it has two meanings)]
saahil pe bhii to itanii shagufataa ravish na thii
tuufaa.N ke biich aake bahut Khush hai zindagii
[saahil = shore; shagufataa = fresh]
viiraan dil hai aur "Adam" zindagii kaa raqs
jangal me.n ghar banaake bahut Khush hai zindagii
[raqs = dance; jangal = forest]
|