Ibrahim Zauq

Home | Index of Poets Ghazal-o-Nazm

ai 'Zauq' dekh duKhtar-e-rizz ko naa muu.Nh lagaa
chhuTatii nahii.n hai ye kaafir muu.Nh se lagii hu_ii

bad na bole zere garduu.N gar ko_ii merii sune
hai ye gumbad kii sadaa jaisii kahe vaisii sune

na huaa par na huaa Meer ka andaaz nasiib
'Zauq' yaaro.n ne bahot zor Gazal me.n maaraa

zaahid sharab piine se kaafir huaa mai.n kyuu.N
kyaa De.Dh chulluu paanii me.n imaan bah gayaa

zarre zarre kii siyaasat pe nazar rakhate hai.n
ham se diivaane bhii duniyaa kii Khabar rakhate hai.n

Home | Index of Poets Ghazal-o-Nazm
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 6th June 2001