Home | Index of Poets Yahya Jasdanwalla

rah-e-aashiqii ke maare rah-e-aam tak na pahu.Nche


rah-e-aashiqii ke maare rah-e-aam tak na pahu.Nche 
kabhii subah tak na pahu.Nche kabhii shaam tak na pahu.Nche 

mujhe mast agar banaa de ye nigaah-e-mast terii 
mera haath kyaa nazar bhii kabhii jaam tak na pahu.Nche 

mujhe apanii bekasii kaa nahii.n Gam Khayaal ye hai 
kahii.n baat ba.Dhate ba.Dhate tere naam tak na pahu.Nche 

jo ye daur bevafaa hai tera Gam to mustaqil ho 
vo hayaat-e-aashiqii kyaa jo davaam tak na pahu.Nche 

[mustaqil=permanent; dawaam=infinity] 

ye anokhii bar_hamii hai ke na bhuule se labo.n par 
basabiil-e-tazaqiraa bhii mere naam tak na pahu.Nche 

[barahamii=injustice; basabiil-e-tazaqiraa=in the course of discussion] 

kahii.n is tarah bhii ruuThe na kisii se ko_ii 'Yahya' 
ke payaam tak na aaye ke salaam tak na pahu.Nche 

Home | Index of Poets Yahya Jasdanwalla
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 8th June, 2001