Home | Index of Poets Wazeer Agha

din Dhal chukaa thaa aur parindaa safar me.n thaa


din Dhal chukaa thaa aur parindaa safar me.n thaa
saaraa lahuu badan kaa ravaa.N Khisht-o-par me.n thaa

had-e-ufaq pe shaam thii Kheme me.n muntazar
aa.Nsuu kaa ik pahaa.D saa haa_il nazar me.n thaa

jaate kahaa.N ki raat kii baahe.n thii.n mushta_iil
chhupate kahaa.N ki saaraa jahaa.N apane ghar me.n thaa

lo vo bhii narm ret ke Tiile me.n Dhal gayaa
kal tak jo ek koh-e-giraa.N rah_guzar me.n thaa

utaraa thaa vahashii chi.Diyo.n kaa lashkar zamiin par
phir ik bhii narm paat na saare shahar me.n thaa

paagal sii ik sadaa kisii uja.De makaa.n me.n thii
Khi.Dakii me.n ik chiraaG bharii dopahar me.n thaa

us kaa badan thaa Khuun kii hiddat se sholaa_fish
suuraj kaa ik gulaab saa tisht-e-sahar me.n thaa

Home | Index of Poets Wazeer Agha
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 26th December, 2002