Home | Index of Poets Sikander Ali Wajd

tere paas aane ko jii chaahataa hai


tere paas aane ko jii chaahataa hai
naye zaKhm khaane ko jii chaahataa hai

idhar aaye shaayad vo mauj-e-tarannum
Gazal gungunaane ko jii chaahataa hai

zamaanaa meraa aazamaayaa huaa hai
tujhe aazamaane ko jii chaahataa hai

vahii baat rah rah ke yaad aa rahii hai
jise bhuul jaane ko jii chaahataa hai

labo.n par mere khelataa hai tabassum
jab aa.Nsuu bahaane ko jii chaahataa hai

[tabassum = smile]

ka_ii martabaa dil pe bijalii girii hai
magar muskuraane ko jii chaahataa hai

[ka_ii martabaa = several times]

takalluf na kar aaj barq-e-tajallii
nasheman jalaane ko jii chaahataa hai

[takalluf karanaa = to be formal; barq = lightning]
[tajallii = brilliant light]

ruKh-e-zindagii se naqaabe.n ulaT kar
haqiiqat dikhaane ko jii chaahataa hai

[haqiiqat = reality]

Home | Index of Poets Sikander Ali Wajd
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 17th August, 2003