bhuulii bisarii cha.nd ummiide.n cha.nd fasaane yaad aaye
Razi Tirmazi

bhuulii bisarii cha.nd ummiide.n cha.nd fasaane yaad aaye
tum yaad aaye aur tumhaare saath zamaane yaad aaye

dil kaa chaman shaadaab thaa phir bhii Khaak sii u.Datii rahatii thii
kaise zamaane ai Gam-e-jaanaa.N tere bahaane yaad aaye

[shaadaab=in full bloom]

Tha.nDii sard havaa ke jho.nke aag lagaakar chho.D gaye
phuul khile shaaKho.n pe naye aur dard puraane yaad aaye

[sard=cold]

ha.Nsane vaalo.n se Darate the chhup chhup kar ro lete the
gaharii gaharii soch me.n Duube do diivaane yaad aaye

Home | Index of Poets


Last updated on 7th March, 1999