so rahaa thaa to shor barpaa thaa
Razi Tirmazi

so rahaa thaa to shor barpaa thaa
uTh ke dekhaa to mai.n akelaa thaa

[barpaa=start]

Khaak par mere Khvaab bikhare the
aur mai.n rezaa rezaa chunataa thaa

[rezaa-rezaa=piece by piece]

chaar jaanib vujuud kii diivaar
apanii aavaaz mai.n hii sunataa thaa

[jaanib=side (of); chaar jaanib=all around]
[vujuud=existence (sometimes pronounced as vajuud)]

umr bhar buu.Nd buu.Nd ko tarase
saamane ghar ke ek dariyaa thaa

lab-e-dariyaa kha.De rahe dono.n
vo bhii pyaasaa thaa mai.n bhii pyaasaa thaa

[lab-e-dariyaa=on the shores of a river/stream]

Home | Index of Poets


Last updated on 7th March, 1999