Home | Index of Poets Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

hazaar gardish-e-shaam-o-sahar se guzare.n hai.n


hazaar gardish-e-shaam-o-sahar se guzare.n hai.n 
vo qaafile jo terii rah_guzar se guzare.n hai.n 

abhii havas ko mayyassar nahii.n dilo.n kaa gudaaz 
abhii ye log muqaam-e-nazar se guzare.n hai.n 

har ek naqsh pe thaa tere naqsh-e-paa kaa gumaa.N 
qadam qadam pe terii rah_guzar se guzare.n hai.n 

na jaane kaun sii manzil pe jaa ke ruk jaaye.n 
nazar ke qaafile diivar-o-dar se guzare.n hai.n 

kuchh aur phail ga_ii.n dard kii kaThin raahe.n 
Gam-e-firaaq ke maare jidhar se guzare.n hai.n 

jahaa.N suruur mayyassar thaa jaam-o-mai ke baGair 
vo maikade bhii hamaarii nazar se guzare.n hai.n 

Home | Index of Poets Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 1st June, 2001