Home | Index of Poets Sagar Nizami

hairat se tak rahaa hai jahaan-e-vafaa mujhe


hairat se tak rahaa hai jahaan-e-vafaa mujhe 
tum ne banaa diyaa hai mohabbat me.n kyaa mujhe 

har manzil-e-hayaat se gum kar gayaa mujhe 
mu.D mu.D ke raah me.n vo teraa dekhanaa mujhe 

kaif-e-Khudii ne mauj ko kashtii banaa diyaa 
hosh-e-Khudaa hai ab na Gam-e-naaKhudaa mujhe 

saaqii bane huye hai.n vo 'Sagar' shab-e-visaal 
is vaqt ko_ii meri kasam dekhataa mujhe 

Contributed by Gopi Shanker

Home | Index of Poets Sagar Nizami
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 28th January, 2002