Home | Index of Poets Saleem Kausar

mai.n Khayaal huu.N kisii aur kaa mujhe sochataa ko_ii aur hai


mai.n Khayaal huu.N kisii aur kaa mujhe sochataa ko_ii aur hai 
sar-e-aa_iinaa meraa aks hai pas-e-aa_inaa ko_ii aur hai 

mai.n kisii ke dast-e-talab me.n huu.N to kisii ke harf-e-duaa me.n huu.N 
mai.n nasiib huu.N kisii aur kaa mujhe maa.Ngataa ko_ii aur hai 

kabhii lauT aaye.N to na puuchhanaa sirf dekhanaa ba.De Gaur se 
jinhe.n raaste me.n Khabar hu_ii ki ye raastaa ko_ii aur hai 

ajab aitabaar-ba-aitabaarii ke daramiyaa.N hai zindagii 
mai.n qariib huu.N kisii aur ke mujhe jaanataa ko_ii aur hai 

vahii munsifo.n kii rivaayate.n vahii faisalo.n kii ibaarate.n 
meraa jurm to ko_ii aur thaa par merii sazaa ko_ii aur hai 

terii roshanii merii Khaddo-Khaal se muKhtalif to nahii.n magar 
tuu qariib aa tujhe dekh luu.N tuu vahii hai yaa ko_ii aur hai 

jo merii rayaazat-e-niim_shab ko "Saleem" subah na mil sakii
to phir is kii maanii to ye hue ke yahaa.N Khudaa ko_ii aur hai

Home | Index of Poets Saleem Kausar
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 19th July, 2003