Home | Index of Poets Siraj Aurangabadi

Khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junuu.N rahaa na parii rahii


Khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junuu.N rahaa na parii rahii 
na to tuu rahaa na to mai.n rahaa, jo rahii so beKhabarii rahii 

shaah-e-beKhudii ne ataa kiyaa mujhe ab libaas-e-barahanagii 
na Khirad kii bakhiyaagarii rahii na junuu.N kii pardaadarii rahii 

chalii simt-e-Gaib se ik havaa ki chaman zahuur kaa jal gayaa 
magar ek shaaKh-e-nihaal-e-Gham jise dil kahe.n so harii rahii 

nazar-e-taGaaful-e-yaar kaa gilaa kis zabaa.N so.n bayaa.N karuu.N 
ki sharaab-e-sad-qadaah aarazuu Khum-e-dil me.n thii so bharii rahii 

vo ajab gha.Dii thii mai.n jis gha.Dii liyaa dars-e-nusKhaa-e-ishq kaa 
ki kitaab-e-aql kii taaq me.n jyuu.N dharii thii tyuu.n hii dharii rahii 

tere josh-e-hairat-e-husn kaa asar is qadar so.n yahaa.N huaa 
ki na aa_iine me.n rahii jilaa na parii kuu.N jalvaa-garii rahii 

kiyaa Khaak aatish-e-ishq ne dil-e-benavaa-e-"Siraj" ko.n 
na Khatar rahaa na hazar rahaa magar ek beKhatarii rahii 

Corrections by Dr. Anand Dhavale

Home | Index of Poets Siraj Aurangabadi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 22nd September, 1999