Home | Index of Singers Jagjit_Chitra Page

ham to hai.n parades me.n, des me.n nikalaa hogaa chaa.Nd
Rahi Masoom Reza

ham to hai.n parades me.n, des me.n nikalaa hogaa chaa.Nd
apanii raat kii chhat par kitanaa tanahaa hogaa chaa.Nd

jin aa.Nkho.n me.n kaajal ban kar tairii kaalii raat ho
un aa.Nkho.n me.n aa.Nsuu kaa ek kataraa hogaa chaa.Nd

raat ne aisaa pech lagaayaa, TuuTii haath se Dor ho
aa.Ngan vaale niim me.n jaakar aTakaa hogaa chaa.Nd

chaa.Nd binaa har din yuu.N biitaa jaise yug biite.n ho
mere binaa kis haal me.n hogaa, kaisaa hogaa chaa.Nd

Available in Album(s):

Home | Index of Singers Jagjit-Chitra Page
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.ghazalsingers.com
Last updated on: 20th June, 2000