Home | Index of Poets Akhtar Shirani

vo kahate hai.n ranjish kii baate.n bhulaa de.n


vo kahate hai.n ranjish kii baate.n bhulaa de.n 
muhabbat kare.n Khush rahe.n muskuraa de.n 

javaanii ho gar jaavidaanii to yaa rab 
terii saadaa duniyaa ko jannat banaa de.n 

shab-e-vasl kii beKhudii chhaa rahii hai 
kaho to sitaaro.n kii shamae.N bujhaa de.n 

tum afsaanaa-e-qais kyaa puuchhate ho 
idhar aao ham tum ko lailaa banaa de.n 

bahaare.n simaT aaye.N khil jaaye.N kaliyaa.N 
jo ham tum chaman me.n kabhii muskuraa de.n 

vo aaye.nge aaj ai bahaar-e-muhabbat 
sitaaro.n ke bistar me.n kaliyaa.N bichha de.n 

Home | Index of Poets Akhtar Shirani
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 4th January, 2003