vo diyaa jis se mere qalb-o-nazar raushan the
Shehzad Ahmed

vo diyaa jis se mere qalb-o-nazar raushan the
mai.n ne jab haath lagaaya to jale haath mere

[qalb-o-nazar=heart and eye]

ghar kii taKhtii ko_ii pa.Dhataa hii nahii.n kyaa kiije
ko_ii ho jo ki mujhe shahar me.n rusavaa kar de

[rusavaa=disgrace]

mujhe ye dukh ki ye lazzat terii qismat me.n nahii.n
aur tuu Khush ki kisii saa.Np ne kaaTaa na tujhe

terii qismat terii haatho.n kii lakiiro.n me.n nahii.n
Dhuu.NDh kar laa vo sitaaraa ki jabii.n par chamake

[jabii.n=forehead]

dekhane kuchh na diyaa dasht ke aage kyaa hai
ban gaye raah kii diivaar musaafir kitane

[dasht=wilderness]

vaadii-e-marg hai ye shahar jo din ko Khush thaa
aap shab-Khuu.N kii tamannaa me.n kahaa.N aa pahu.Nche

[vaadii-e-marg=valley of the dead; shab-Khuu.N=bloody evening]

mere haatho.n se rukaa sail-e-havaa kaa relaa
sang huu.N yaa ki mai.n aahan huu.N mujhe sochane de

[sail-e-havaa=fast wind; sang=stone; aahan=iron]

Home | Index of Poets


Last updated on 25th January, 2000