Home | Index of Poets Shakeb Jalali

vahii jhukii hu_ii bele.n vahii dariichaa thaa


vahii jhukii hu_ii bele.n vahii dariichaa thaa
magar vo phuul-saa cheharaa nazar na aataa thaa

mai.n lauT aayaa huu.N Khaamoshiyo.n ke saharaa se
vahaa.N bhii terii sadaa kaa Gubaar phailaa thaa

qariib tair rahaa thaa bato.n kaa ek jo.Daa
mai.n aab_juu ke kinaare udaas baiThaa thaa

[bat (batak) = swan]

banii nahii.n jo kahii.n par kalii kii turbat thii
sunaa nahii.n jo kisii ne havaa kaa nauhaa thaa

[turbat = grave; nauha = sad song]

ye aa.Dii-tirchhii lakiire.n banaa gayaa hai kaun
mai.n kyaa kahuu.N ki mere dil kaa varaq to saadaa thaa

[aa.Dii-tirchhii = crooked; varaq = page; saadaa = blank]

udhar se baarahaa guzaraa magar Khabar na hu_ii
ki zer-e-sang Khunuk paaniyo.n kaa chashmaa thaa

[baarahaa = time and again; zer-e-sang = beneath the stone]
[Khunuk = cold; chashmaa = spring of water]

vo us kaa aks-e-badan thaa ki chaa.ndanii kaa ka.Nval
vi niilii jhiil thii yaa aasamaa.N kaa Tuka.Daa thaa

Home | Index of Poets Shakeb Jalali
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 6th February, 2002