Home | Index of Poets Shakeb Jalali

jahaa.N talak bhii ye seharaa dikhaa_ii detaa hai


jahaa.N talak bhii ye seharaa dikhaa_ii detaa hai 
merii tarah se akelaa dikhaa_ii detaa hai 

na itanaa tez chale sar-phirii havaa se kaho 
shajar pe ek hii pattaa dikhaa_ii detaa hai 

buraa naa maaniye logo.n kii aib-juu_ii kaa 
i.nhe.n to din kaa bhii saayaa dikhaa_ii detaa hai 

ye ek abr kaa Tukaraa kahaa.N kahaa.N barase 
tamaam dasht hii pyaasaa dikhaa_ii detaa hai 

vo alvidaa kaa ma.nzar vo bhigatii palake.n 
paas-e-Gubaar bhii kyaa kyaa dikhaa_ii detaa hai 

merii nigaah se chhup kar kahaa.N rahegaa ko_ii 
ke ab to sa.ng bhii shiishaa dikhaa_ii detaa hai 

simaT ke rah daye aaKhir pahaar se qad bhii 
zamii.n se har ko_ii uu.Nchaa dikhaa_ii detaa hai 

ye kis maqaam pe laa_ii hai justajuu terii 
jahaa.N se arsh bhii niichaa dikhaa_ii detaa hai 

khilii hai dil me.n kisii ke badan kii dhuup "Shakeb" 
har ek phuul suneharaa dikhaa_ii detaa hai 

Additions by Fayaz Razvi

Home | Index of Poets Shakeb Jalali
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001