Home | Index of Poets Shahryar

aise hijr ke mausam ab kab aate hai.n


aise hijr ke mausam ab kab aate hai.n 
tere alaavaa yaad hame.n sab aate hai.n 

jazb kare kyo.n ret hamaare ashko.n ko 
teraa daaman tar karane ab aate hai.n 

ab vo safar kii taab nahii.n baaqii varanaa 
ham ko bulaave dasht se jab tab aate hai.n 

jaagatii aa.Nkho.n se bhii dekho duniyaa ko 
Khvaabo.n kaa kyaa hai vo har shab aate hai.n 

kaaGaz kii kashtii me.n dariyaa paar kiyaa 
dekho ham ko kyaa kyaa karatab aate hai.n 

Corrections by U.V. Ravindra
Additions by Fayaz Razvi

Home | Index of Poets Shahryar
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 22nd November, 2001